KHuda jaanta hai
ḳhudā kī ye bāteñ ḳhudā jāntā hai
nikaltā hai mashriq se kis tarah sūraj
falak par chamaktā hai ye chāñd kyūñkar
kahāñ se samundar meñ aate haiñ tūfāñ
ujālā hai kaisā ye shams-o-qamar par
ḳhudā kī ye bāteñ ḳhudā jāntā hai
bahāroñ kā gul ko patā kis tarah hai
adā ġhunchoñ ko ye chaTakne kī kyoñ dī
kahāñ se hai aayā ḳhizāñ kā ye mausam
ghaTā ko ye ḳhūbī barasne kī kyoñ dī
ḳhudā kī ye bāteñ ḳhudā jāntā hai
KHuda ki ye baaten KHuda jaanta hai
nikalta hai mashriq se kis tarah suraj
falak par chamakta hai ye chand kyunkar
kahan se samundar mein aate hain tufan
ujala hai kaisa ye shams-o-qamar par
KHuda ki ye baaten KHuda jaanta hai
bahaaron ka gul ko pata kis tarah hai
ada ghunchon ko ye chaTakne ki kyon di
kahan se hai aaya KHizan ka ye mausam
ghaTa ko ye KHubi barasne ki kyon di
KHuda ki ye baaten KHuda jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.