KHuda jaanta hai
ye ashkoñ kī hiddat
ḳhudā jāntā hai ki kis jazba-e-nā-rasā kī hai shiddat
in ashkoñ ke pīchhe
chhupī dāstānoñ ke haiñ rang kitne ḳhudā jāntā hai
chamak meñ in ashkoñ kī
kitnī tamannāoñ ke diip kī jhilmilāhaT ḳhudā jāntā hai
ravānī meñ in kī safar-dar-safar masāfat kā ik silsila hai
aur in āñsūoñ meñ kashish kā vo sāmāñ
jo be-kaif rishtoñ ke bār-e-garāñ hī kā ik mas.ala hai
ye aañsū jo yuuñ Dhal rahe haiñ
ḳhudā jāntā hai ki kis māñdgī kā ishāra baneñge
ye ashkon ki hiddat
KHuda jaanta hai ki kis jazba-e-na-rasa ki hai shiddat
in ashkon ke pichhe
chhupi dastanon ke hain rang kitne KHuda jaanta hai
chamak mein in ashkon ki
kitni tamannaon ke dip ki jhilmilahaT KHuda jaanta hai
rawani mein in ki safar-dar-safar masafat ka ek silsila hai
aur in aansuon mein kashish ka wo saman
jo be-kaif rishton ke bar-e-garan hi ka ek masala hai
ye aansu jo yun Dhal rahe hain
KHuda jaanta hai ki kis mandgi ka ishaara banenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.