KHuda kaun se aasman par rahta hai
Interesting Fact
(In the memory of Peshawar tragedy)
aksar aḳhbār meñ
sub.h savere lafzoñ ke andar
chham-chham nāchtī ḳhuun kī būñdeñ dekh kar
maiñ soch meñ paḌ jaatī
ḳhudā kaun se āsmān par rahtā hai
ḳhud se pūchhtī
sab se pūchhtī
javāb meñ ek ghanī chup
merā muñh chiḌātī
magar aaj itne saare phūloñ ke janāze dekhe to
maiñ ne
qatra qatra Tapakte ḳhuun kī haqīqat
taaza gulāb kī hasrat
chiḌiyā kī udāsī aur
koyal kī huuk meñ chhupī dard bantī dāstāñ ko
jaan liyā
bas us din se
maiñ kisī se nahīñ pūchhtī ki
ḳhudā kaun se āsmāñ par rahtā hai
aksar aKHbar mein
subh sawere lafzon ke andar
chham-chham nachti KHun ki bunden dekh kar
main soch mein paD jati
KHuda kaun se aasman par rahta hai
KHud se puchhti
sab se puchhti
jawab mein ek ghani chup
mera munh chiDati
magar aaj itne sare phulon ke janaze dekhe to
main ne
qatra qatra Tapakte KHun ki haqiqat
taza gulab ki hasrat
chiDiya ki udasi aur
koyal ki huk mein chhupi dard banti dastan ko
jaan liya
bas us din se
main kisi se nahin puchhti ki
KHuda kaun se aasman par rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.