vafā ke paimān sab bhulā kar
jafā.eñ karte vafā ke qātil
rasūl-e-haq ke jo ummatī haiñ
vahī haiñ āl-e-ebā ke qātil
ye us kī apnī hī maslahat hai
vo jism rakhtā nahīñ hai varna
ye mansaboñ ke ġhasab ke aadī
zarūr hote ḳhudā ke qātil
na hī amānat na hī diyānat
na hī sadāqat na hī sharāfat
nabī ke mimbar par aa ga.e haiñ
nabī kī har ik adā ke qātil
imaam jin kā yazīd hogā
vo kaise jāneñ husain kyā hai
bane bhī haiñ qaarī lā-ilāh ke
ye lā-ilāh kī baqā ke qātil
ye mansaboñ ke ġhasab ke aadī
zarūr hote ḳhudā ke qātil
wafa ke paiman sab bhula kar
jafaen karte wafa ke qatil
rasul-e-haq ke jo ummati hain
wahi hain aal-e-eba ke qatil
ye us ki apni hi maslahat hai
wo jism rakhta nahin hai warna
ye mansabon ke ghasab ke aadi
zarur hote KHuda ke qatil
na hi amanat na hi diyanat
na hi sadaqat na hi sharafat
nabi ke mimbar par aa gae hain
nabi ki har ek ada ke qatil
imam jin ka yazid hoga
wo kaise jaanen husain kya hai
bane bhi hain qari la-ilah ke
ye la-ilah ki baqa ke qatil
ye mansabon ke ghasab ke aadi
zarur hote KHuda ke qatil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.