Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda KHamosh hai

Nida Fazli

KHuda KHamosh hai

Nida Fazli

MORE BYNida Fazli

    bahut se kaam haiñ

    lipTī huī dhartī ko phailā deñ

    daraḳhtoñ ko ugā.eñ

    Dāliyoñ pe phuul mahkā deñ

    pahāḌoñ ko qarīne se lagā.eñ

    chāñd laTkā.eñ

    ḳhalāoñ ke saroñ pe nīl-gūñ ākāsh

    phailā.eñ

    sitāroñ ko kareñ raushan

    havāoñ ko gatī de deñ

    phudakte pattharoñ ko pañkh de kar naġhmagī de deñ

    laboñ ko muskurāhaT

    añkhḌiyoñ ko raushnī de deñ

    saḌak par Doltī parchhā.iyoñ ko

    zindagī de deñ

    ḳhudā ḳhāmosh hai!

    tum aao to taḳhlīq ho duniyā

    maiñ itne saare kāmoñ ko akelā kar nahīñ saktā

    bahut se kaam hain

    lipTi hui dharti ko phaila den

    daraKHton ko ugaen

    Daliyon pe phul mahka den

    pahaDon ko qarine se lagaen

    chand laTkaen

    KHalaon ke saron pe nil-gun aakash

    phailaen

    sitaron ko karen raushan

    hawaon ko gati de den

    phudakte pattharon ko pankh de kar naghmagi de den

    labon ko muskurahaT

    ankhDiyon ko raushni de den

    saDak par Dolti parchhaiyon ko

    zindagi de den

    KHuda KHamosh hai!

    tum aao to taKHliq ho duniya

    main itne sare kaamon ko akela kar nahin sakta

    Source :
    • Book : Shaher Men Gaon (Pg. 117)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now