KHuda
ḳhudā ne banā.ī hai ye kā.enāt
ye phal phuul paude ye din aur raat
ye sūraj kī garmī ye khetoñ meñ naaj
pahāḌoñ ko pahnāyā sabze kā taaj
ye chiḌiyoñ kī chahkār shām-o-sahar
zamīñ ke ḳhazāne ye la.al-o-guhar
samundar ye tūfān āb-o-havā
ye bārish kā mausam ye kaalī ghaTā
ye jañgal pe chhāyā huā ik surūr
ye dilkash manāzir chahakte tuyūr
maiñ qudrat ḳhudā kī bayāñ kyā karūñ
jo zāhir hai sitvat ayaañ kyā karūñ
KHuda ne banai hai ye kaenat
ye phal phul paude ye din aur raat
ye suraj ki garmi ye kheton mein naj
pahaDon ko pahnaya sabze ka taj
ye chiDiyon ki chahkar sham-o-sahar
zamin ke KHazane ye lal-o-guhar
samundar ye tufan aab-o-hawa
ye barish ka mausam ye kali ghaTa
ye jangal pe chhaya hua ek surur
ye dilkash manazir chahakte tuyur
main qudrat KHuda ki bayan kya karun
jo zahir hai sitwat ayan kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.