KHuda ki jagah Khaali hai
shañkar Damrū kā mutabādil talāsh kar chukā
gopiyāñ ab kisī ūdhau kī muhtāj nahīñ
trunk call
un kī samasyāoñ kā hal hai
izrā.īl!
atom aur helium ke haq meñ
dast-bardār hone kī fikr meñ hai
isrāfīl kī jamāliyātī his ko jilā mil ga.ī
ab vo kisī music-schōl meñ dāḳhila le legā
fōd-corporation kā mutālbā:
'mikhail kā retirement' maan liyā gayā hai
wireless-telegraphy kā mahkama
afsar-e-ālā ke ohde ke liye
jibra.īl kī darḳhvāst par ġhaur kar rahā hai
'ḳhudā kī jagah ḳhālī hai'
mutamannī hazrāt fauran se pesh-tar darḳhvāst deñ!
shankar Damru ka mutabaadil talash kar chuka
gopiyan ab kisi udhau ki muhtaj nahin
trunk call
un ki samasyaon ka hal hai
izrail!
atom aur helium ke haq mein
dast-bardar hone ki fikr mein hai
israfil ki jamaliyati his ko jila mil gai
ab wo kisi music-school mein daKHila le lega
food-corporation ka mutalba:
'mikhail ka retirement' man liya gaya hai
wireless-telegraphy ka mahkama
afsar-e-ala ke ohde ke liye
jibrail ki darKHwast par ghaur kar raha hai
'KHuda ki jagah KHali hai'
mutamanni hazraat fauran se pesh-tar darKHwast den!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.