KHuda ki shan
maiñ ho gayā jo shifāyāb vo Thikāne lagā
buḳhār merī jagah doctor ko aane lagā
mushā.ire meñ jo dariyāñ bichhāyā kartā thā
ḳhudā kī shaan vo ab sher bhī sunāne lagā
vo birth-day pe mujhe muñh nahīñ lagātā thā
so maiñ bhī us ke gale iid ke bahāne lagā
milā thā post pe custam kā ik baḌā afsar
zarā sī ghaas jo Daalī to dam hilāne lagā
main ho gaya jo shifayab wo Thikane laga
buKHar meri jagah doctor ko aane laga
mushaire mein jo dariyan bichhaya karta tha
KHuda ki shan wo ab sher bhi sunane laga
wo birth-day pe mujhe munh nahin lagata tha
so main bhi us ke gale id ke bahane laga
mila tha post pe custam ka ek baDa afsar
zara si ghas jo Dali to dam hilane laga
- Book : excuse me (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.