KHuda
kyā ḳhudā tujh ko bhuul jā.ūñ maiñ
kis liye tere gun gā.ūñ maiñ
mujh ko insāñ banā diyā tū ne
sīdhā rasta batā diyā tū ne
phir samajh dī ki nek kaam karūñ
kitnā ūñchā uThā diyā tū ne
kyā ye ehsān bhuul jā.ūñ maiñ
kis liye tere gun na gā.ūñ maiñ
chāñd sūraj jo jagmagāte haiñ
garmī aur raushnī bahāte haiñ
zindagī kā yahī sahārā haiñ
khetiyāñ bhī yahī pakāte haiñ
ye na chamkeñ to kuchh na khā.ūñ maiñ
kis liye tere gun na gā.ūñ maiñ
ye ghaTā.eñ ye ThanDī ThanDī havā
ye samundar pahāḌ ye dariyā
ye ghane aur ye lahlahāte khet
tū ne mere liye kiye paidā
den ko terī kyā ginā.ūñ maiñ
kis liye tere gun na gā.ūñ maiñ
gaay yā bhaiñs bail yā bakrī
uuñT ghoḌe pahāḌ se hāthī
duudh ghī deñ mujhe savārī deñ
joteñ bo.eñ yahī merī khetī
kyā diyā tū ne kyā batā.ūñ maiñ
kis liye terā gun na gā.ūñ maiñ
tū ne maatā pitā kā pyaar diyā
phir mujhe ilm se sañvār diyā
baḌh ke in sab se tandurustī dī
jo diyā tū ne be-shumār diyā
chāhiye sar tujhe jhukā.ūñ maiñ
kis liye tere gun na gā.ūñ maiñ
kya KHuda tujh ko bhul jaun main
kis liye tere gun gaun main
mujh ko insan bana diya tu ne
sidha rasta bata diya tu ne
phir samajh di ki nek kaam karun
kitna uncha uTha diya tu ne
kya ye ehsan bhul jaun main
kis liye tere gun na gaun main
chand suraj jo jagmagate hain
garmi aur raushni bahate hain
zindagi ka yahi sahaara hain
khetiyan bhi yahi pakate hain
ye na chamken to kuchh na khaun main
kis liye tere gun na gaun main
ye ghaTaen ye ThanDi ThanDi hawa
ye samundar pahaD ye dariya
ye ghane aur ye lahlahate khet
tu ne mere liye kiye paida
den ko teri kya ginaun main
kis liye tere gun na gaun main
gay ya bhains bail ya bakri
unT ghoDe pahaD se hathi
dudh ghi den mujhe sawari den
joten boen yahi meri kheti
kya diya tu ne kya bataun main
kis liye tera gun na gaun main
tu ne mata pita ka pyar diya
phir mujhe ilm se sanwar diya
baDh ke in sab se tandurusti di
jo diya tu ne be-shumar diya
chahiye sar tujhe jhukaun main
kis liye tere gun na gaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.