KHuda
mujhe is kā dukh hai
ki maiñ ne tujhe
aaj tak kyuuñ na jānā!
ḳhudā ai ḳhudā
maiñ samajhtā thā tū
ek zālim hai jo
mujh pe zulm-o-sitam Dhā rahā hai!
mujhe ye ḳhabar hī nahīñ thī
ki tū bhī
dukhī hai!
akelā hai!!
maiñ aur tū
ek hī aag meñ jal rahe haiñ!!
mujhe is ka dukh hai
ki main ne tujhe
aaj tak kyun na jaana!
KHuda ai KHuda
main samajhta tha tu
ek zalim hai jo
mujh pe zulm-o-sitam Dha raha hai!
mujhe ye KHabar hi nahin thi
ki tu bhi
dukhi hai!
akela hai!!
main aur tu
ek hi aag mein jal rahe hain!!
- Book : Raat Idhar Udhar Rooshan (Pg. 201)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.