KHuda qahqaha lagata hai
Interesting Fact
anvar sen roy kii nazm ke javaab me.n
ġhazva-e-ḳhandaq kā safar
zabān kī ḳhandaq tak aa pahuñchā
lekin sāzisheñ hathiyā.ī nahīñ jā sakīñ
iblīs kī ma.ayyat meñ
namāz-e-hājāt adā karne vaale
hatheliyoñ meñ jannat bhar ke kahte haiñ
ḳhudāyā
ye duudh aur shahd kī nahreñ
kis ke liye bachā rakhī haiñ
terī zamīn pe to ab
kachre ke Dher se
rizq nahīñ insānī khilaune milte haiñ
zālimoñ ne mushkeñ kas liiñ
aur terī darāz rassiyoñ ne
hazāroñ iisā maslūb kar diye
terī tevrī meñ bal paḌtā hai to
zamīn taish meñ thūthnī hilātī hai
aur āsmān saarī raat
us pe bhūñktā rahtā hai
dekh tere khilaunoñ kī
zabān-darāzī baḌh ga.ī hai
aur likhne vāloñ ke liye
saarī kahāniyāñ
baasī kaḌhī ke ubaal jaisī ho ga.ī haiñ
is liye surḳhiyoñ meñ ab
terī masrūfiyat pe savāl uThāyā jā rahā hai
tū chup-chāp miTTī ko
khanakte hue suntā hai
kabhī bol ke bhī dekh
ghazwa-e-KHandaq ka safar
zaban ki KHandaq tak aa pahuncha
lekin sazishen hathiyai nahin ja sakin
iblis ki mayyat mein
namaz-e-hajat ada karne wale
hatheliyon mein jannat bhar ke kahte hain
KHudaya
ye dudh aur shahd ki nahren
kis ke liye bacha rakhi hain
teri zamin pe to ab
kachre ke Dher se
rizq nahin insani khilaune milte hain
zalimon ne mushken kas lin
aur teri daraaz rassiyon ne
hazaron isa maslub kar diye
teri tewri mein bal paDta hai to
zamin taish mein thuthni hilati hai
aur aasman sari raat
us pe bhunkta rahta hai
dekh tere khilaunon ki
zaban-daraazi baDh gai hai
aur likhne walon ke liye
sari kahaniyan
basi kaDhi ke ubaal jaisi ho gai hain
is liye surKHiyon mein ab
teri masrufiyat pe sawal uThaya ja raha hai
tu chup-chap miTTi ko
khanakte hue sunta hai
kabhi bol ke bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.