KHuda wo waqt na lae
ḳhudā vo vaqt na laa.e ki sogvār ho tū
sakūñ kī niiñd tujhe bhī harām ho jaa.e
tirī masarrat-e-paiham tamām ho jaa.e
tirī hayāt tujhe talḳh jaam ho jaa.e
ġhamoñ se ā.īna-e-dil gudāz ho terā
hujūm-e-yās se betāb ho ke rah jaa.e
vufūr-e-dard se sīmāb hoke rah jaa.e
tirā shabāb faqat ḳhvāb ho ke rah jaa.e
ġhurūr-e-husn sarāpā niyāz ho terā
tavīl rātoñ meñ tū bhī qarār ko tarse
tirī nigāh kisī ġham-gusār ko tarse
ḳhizāñ-rasīda tamannā bahār ko tarse
koī jabīñ na tire sañg-e-āstāñ pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqīdat se tujh ko shaad kare
fareb-e-vāda-e-fardā pe e'timād kare
ḳhudā vo vaqt na laa.e ki tujh ko yaad aa.e
vo dil ki tere liye be-qarār ab bhī hai
vo aañkh jis ko tirā intizār ab bhī hai
KHuda wo waqt na lae ki sogwar ho tu
sakun ki nind tujhe bhi haram ho jae
teri masarrat-e-paiham tamam ho jae
teri hayat tujhe talKH jam ho jae
ghamon se aaina-e-dil gudaz ho tera
hujum-e-yas se betab ho ke rah jae
wufur-e-dard se simab hoke rah jae
tera shabab faqat KHwab ho ke rah jae
ghurur-e-husn sarapa niyaz ho tera
tawil raaton mein tu bhi qarar ko tarse
teri nigah kisi gham-gusar ko tarse
KHizan-rasida tamanna bahaar ko tarse
koi jabin na tere sang-e-astan pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqidat se tujh ko shad kare
fareb-e-wada-e-farda pe e'timad kare
KHuda wo waqt na lae ki tujh ko yaad aae
wo dil ki tere liye be-qarar ab bhi hai
wo aankh jis ko tera intizar ab bhi hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 14)
- Author : Faiz Ahmad Faiz
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.