KHuda zamin par kab aaega
kā.enāt jis kī bāgeñ
kisī hādse ke haath meñ de kar
ḳhudā-vand-e-karīm ibādateñ baTor rahā hai
kyā use sirf yahī ġharaz hai
ki vo pahchānā jaa.e yā
us ke hone kī
kuchh aur bhī haqīqat hai
is mulk meñ jahāñ ba-zāhir āzādī hai
ġhulāmī ke tauq pahne hue eḌiyāñ ragaḌtī dil masostī jāñ-ba-lab zindagī
umr kā tavīl safar tai karne kahāñ jā.egī
kyā koī aur zindagī-baḳhsh sayyāra daryāft ho chukā hai
kyā koī aur zamīn DhūñD lī ga.ī hai
itnī baḌī duniyā meñ kyā chhoTe-pan ko dafn karne kī koī jagah baaqī nahīñ
kyā samundaroñ ne iqrār kar liyā hai ki vo murdār nigleñge
aur kashtiyoñ ko bandar-gāhoñ ke kināroñ par pahuñchā kar qazzāqoñ ke havāle kar deñge
aañkh jab patthar barsāne lagegī to āñsū-bhar ḳhajālat
māthe se numūdār ho kar apne hone kā ehsās dilā.eñ ge
is āzād mulk meñ jahāñ ġhulāmī ke tauq pahne
eḌiyāñ ragaḌtī dil masostī jāñ-ba-lab zindagī intizār meñ hai
ki ibādateñ baTortā ḳhudā kā.enāt kī sīḌhiyoñ tak to aa.e
kaenat jis ki bagen
kisi hadse ke hath mein de kar
KHuda-wand-e-karim ibaadaten baTor raha hai
kya use sirf yahi gharaz hai
ki wo pahchana jae ya
us ke hone ki
kuchh aur bhi haqiqat hai
is mulk mein jahan ba-zahir aazadi hai
ghulami ke tauq pahne hue eDiyan ragaDti dil masosti jaan-ba-lab zindagi
umr ka tawil safar tai karne kahan jaegi
kya koi aur zindagi-baKHsh sayyara daryaft ho chuka hai
kya koi aur zamin DhunD li gai hai
itni baDi duniya mein kya chhoTe-pan ko dafn karne ki koi jagah baqi nahin
kya samundaron ne iqrar kar liya hai ki wo murdar niglenge
aur kashtiyon ko bandar-gahon ke kinaron par pahuncha kar qazzaqon ke hawale kar denge
aankh jab patthar barsane lagegi to aansu-bhar KHajalat
mathe se numudar ho kar apne hone ka ehsas dilaen ge
is aazad mulk mein jahan ghulami ke tauq pahne
eDiyan ragaDti dil masosti jaan-ba-lab zindagi intizar mein hai
ki ibaadaten baTorta KHuda kaenat ki siDhiyon tak to aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.