KHurd-rau dalilen
vo kyā thā
qahqaha thā
chīḳh thī
chiñghāḌ thī
yā dahāḌ thii?
us ne samā.at chīrtī āvāz kā golā
utartī raat kī bhīgī huī pahnā.ī meñ dāġhā
to mere paañv ke nīche zamīn chalne lagī
ye tum ne kyā kiyā merī dabī āvāz ne pūchhā
to vo ik ghūñT paanī se phaTī āvāz ko sī kar
kisī andhe kueñ kī tah se bolā
mujhe jab bhī miirī bedard socheñ tañg kartī haiñ
zamāne kī ravish se jab mirī ḳhurd-rau dalīleñ jañg kartī haiñ
kitābeñ jab mire sar kā nishāna bāñdh ke apnī ibārat sañg kartī haiñ
to mujh se aur kuchh bhī ho nahīñ saktā
maiñ ye bedard āvāzā lagātā huuñ
vagarna so nahīñ saktā
wo kya tha
qahqaha tha
chiKH thi
chinghaD thi
ya dahaD thi?
us ne samaat chirti aawaz ka gola
utarti raat ki bhigi hui pahnai mein dagha
to mere panw ke niche zamin chalne lagi
ye tum ne kya kiya meri dabi aawaz ne puchha
to wo ek ghunT pani se phaTi aawaz ko si kar
kisi andhe kuen ki tah se bola
mujhe jab bhi meri bedard sochen tang karti hain
zamane ki rawish se jab meri KHurd-rau dalilen jang karti hain
kitaben jab mere sar ka nishana bandh ke apni ibarat sang karti hain
to mujh se aur kuchh bhi ho nahin sakta
main ye bedard aawaza lagata hun
wagarna so nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.