KHush-KHurak
ḳhush haiñ aise log duniyā meñ jo ḳhush-ḳhūrāk haiñ
aur un logoñ ke dastar-ḳhvān haibatnāk haiñ
un ke dastar-ḳhvān pe ḳhushbū misālī chaa.e kī
chaar anDe chhe slice das piyālī chaa.e kī
ho ga.e jab chaa.e kī lazzat se dil-bardashta
khā liye aadhā kilo añgūr ba.ad-az-nāshta
jab kahīñ mauqa.a milā thoḌā sā biscuit khā liyā
nosh-e-jāñ farmā liyā phir paan cigarette chhāliyā
dopahar meñ chhe chapātī chaar anDe omelette
chār-chhe shāmī kabāb aur ik nahārī ke plate
kofte hasb-e-liyāqat ek lassī kā gilass
khā ga.e aur pī ga.e mausūf be-ḳhauf-o-hirās
da.avatoñ ke jaal phailā.e hue haiñ har taraf
kah diyā khāne se pahle hī takalluf-bar-taraf
raat ko thoḌī sī jelly kuchh murbba aam kā
kuchh papītā le liyā phir hāzme ke naam kā
do parāThe le liye kuchh der sustāne ke ba.ad
''ik tire aane se pahle ik tire jaane ke ba.ad''
KHush hain aise log duniya mein jo KHush-KHurak hain
aur un logon ke dastar-KHwan haibatnak hain
un ke dastar-KHwan pe KHushbu misali chae ki
chaar anDe chhe slice das piyali chae ki
ho gae jab chae ki lazzat se dil-bardashta
kha liye aadha kilo angur baad-az-nashta
jab kahin mauqa mila thoDa sa biscuit kha liya
nosh-e-jaan farma liya phir pan cigarette chhaaliya
dopahar mein chhe chapati chaar anDe omelette
chaar-chhe shami kabab aur ek nahaari ke plate
kofte hasb-e-liyaqat ek lassi ka gilass
kha gae aur pi gae mausuf be-KHauf-o-hiras
dawaton ke jal phailae hue hain har taraf
kah diya khane se pahle hi takalluf-bar-taraf
raat ko thoDi si jelly kuchh murbba aam ka
kuchh papita le liya phir hazme ke nam ka
do paraThe le liye kuchh der sustane ke baad
ik tere aane se pahle ek tere jaane ke baad
- Book : No Problem (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.