KHusha zamanat-e-gham
dayār-e-yār tirī joshish-e-junūñ pe salām
mire vatan tire dāmān-e-tār-tār kī ḳhair
rah-e-yaqīñ tirī afshān-e-ḳhak-o-ḳhūñ pe salām
mire chaman tire zaḳhmoñ ke lāla-zār kī ḳhair
har ek ḳhāna-e-vīrāñ kī tīrgī pe salām
har ek ḳhāk-basar, ḳhānumāñ-ḳharāb kī ḳhair
har ek kushta-e-nā-haq kī ḳhāmushī pe salām
har ek dīda-e-pur-nam kī āb-o-tāb kī ḳhair
ravāñ rahe ye rivāyat, ḳhushā zamānat-e-ġham
nashāt-e-ḳhatm-e-ġham-e-kā.enāt se pahle
har ik ke saath rahe daulat-e-amānat-e-ġham
koī najāt na paa.e najāt se pahle
sakūñ mile na kabhī tere pā-figāroñ ko
jamāl-e-ḳhūn-e-sar-e-ḳhār ko nazar na lage
amaañ mile na kahīñ tere jāñ-nisāroñ ko
jalāl-e-farq-e-sar-e-dār ko nazar na lage
dayar-e-yar teri joshish-e-junun pe salam
mere watan tere daman-e-tar-tar ki KHair
rah-e-yaqin teri afshan-e-KHak-o-KHun pe salam
mere chaman tere zaKHmon ke lala-zar ki KHair
har ek KHana-e-viran ki tirgi pe salam
har ek KHak-basar, KHanuman-KHarab ki KHair
har ek kushta-e-na-haq ki KHamushi pe salam
har ek dida-e-pur-nam ki aab-o-tab ki KHair
rawan rahe ye riwayat, KHusha zamanat-e-gham
nashat-e-KHatm-e-gham-e-kaenat se pahle
har ek ke sath rahe daulat-e-amanat-e-gham
koi najat na pae najat se pahle
sakun mile na kabhi tere pa-figaron ko
jamal-e-KHun-e-sar-e-KHar ko nazar na lage
aman mile na kahin tere jaan-nisaron ko
jalal-e-farq-e-sar-e-dar ko nazar na lage
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 362)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.