KHushamad
dil ḳhushāmad se har ik shaḳhs kā kyā raazī hai
aadmī jin parī o bhuut balā raazī hai
bhaa.ī farzand bhī ḳhush baap chachā raazī hai
shaad masrūr ġhanī shaah o gadā raazī hai
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
apnā matlab ho to matlab kī ḳhushāmad kiije
aur na ho kaam to us Dhab kī ḳhushāmad kiije
auliyā ambiyā aur rab kī ḳhushāmad kiije
apne maqdūr ġharaz sab kī ḳhushāmad kiije
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai kī ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
chaar din jis ko kiyā jhuk ke ḳhushāmad se salām
vo bhī ḳhush ho gayā apnā bhī huā kaam meñ kaam
baḌe aaqil baḌe daanā ne nikālā hai ye daam
ḳhuub dekhā to ḳhushāmad hī kī aamad hai tamām
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
bad baḳhīl aur saḳhī kī bhī ḳhushāmad kiije
aur jo shaitān ho to us kī bhī ḳhushāmad kiije
gar valī ho to valī kī bhī ḳhushāmad kiije
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
pyaar se joḌ diye jis kī taraf haath jo aah
vahīñ ḳhush ho gayā karte hī vo hāthoñ pe nigāh
ġhaur se ham ne jo is baat ko dekhā vallāh
kuchh ḳhushāmad hī baḌī chiiz hai allāh allāh
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī
piine aur pahanñe khāne kī ḳhushāmad kiije
hījḌe bhāñD zanāne kī ḳhushāmad kiije
mast o hushiyār divāne kī ḳhushāmad kiije
bhole nādān siyāne kī ḳhushāmad kiije
jau ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
aish karte haiñ vahī jin kā ḳhushāmad kā mizāj
jo nahīñ karte vo rahte haiñ hamesha mohtāj
haath aatā hai ḳhushāmad se makāñ mulk aur taaj
kyā hī tāsīr kī is nusḳhe ne paa.ī hai rivāj
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
gar bhalā ho to bhale kī bhī ḳhushāmad kiije
aur burā ho to bure kī bhī ḳhushāmad kiije
paak nāpāk siḌe kī bhī ḳhushāmad kiije
kutte billī o gad.he kī bhī ḳhushāmad kiije
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
ḳhuub dekhā to ḳhushāmad kī baḌī khetī hai
ġhair kī apne hī ghar biich ye sukh detī hai
maañ ḳhushāmad ke sabab chhātī lagā letī hai
naanī daadī bhī ḳhushāmad se duā detī hai
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
bī-bī kahtī hai miyāñ aa tire sadqe jā.ūñ
saas bole kahīñ mat jā tire sadqe jā.ūñ
ḳhāla kahtī hai ki kuchh khā tire sadqe jā.ūñ
saalī kahtī hai ki bhayyā tire sadqe jā.ūñ
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
aa paḌā hai jo ḳhushāmad se sarokār use
DhūñDte phirte haiñ ulfat ke ḳharīdār use
āshnā milte haiñ aur chāhe haiñ sab yaar use
apne begāne ġharaz karte haiñ sab pyaar use
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
rūkhī aur roġhnī aabī ko ḳhushāmad kiije
nān-bā.ī o kabābī kī ḳhushāmad kiije
saaqī o jaam sharābī kī ḳhushāmad kiije
pārsā rind ḳharābī kī ḳhushāmad kiije
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā arāzī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
jo ki karte haiñ ḳhushāmad vo baḌe haiñ insāñ
jo nahīñ karte vo rahte haiñ hamesha hairāñ
haath aate haiñ ḳhushāmad se hazāroñ sāmāñ
jis ne ye baat nikālī hai maiñ us ke qurbāñ
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
kauḌī paise o Take zar kī ḳhushāmad kiije
la.al o nīlam dar o gauhar kī ḳhushāmad kiije
aur jo patthar ho to patthar kī ḳhushāmad kiije
nek o bad jitne haiñ yak-sar kī ḳhushāmad kiije
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
ham ne har dil kī ḳhushāmad kī mohabbat dekhī
pyaar iḳhlās o karam mehr muravvat dekhī
dilbaroñ meñ bhī ḳhushāmad hī kī ulfat dekhī
āshiqoñ maiñ bhī ḳhushāmad hī kī chāhat dekhī
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
pārsā piir hai zāhid hai manā jaatī hai
juvāriyā chor daġhābāz ḳharābātī hai
maah se maahī talak chyūñTī hai yā hāthī hai
ye ḳhushāmad to miyāñ sab ke ta.iiñ bhātī hai
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
gar na mīThī ho to kaḌvī bhī ḳhushāmad kiije
kuchh na ho paas to ḳhālī bhī ḳhushāmad kiije
jaanī dushman ho to us kī ḳhushāmad kiije
sach agar pūchho to jhūTī bhī ḳhushāmad kiije
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
mard o zan tifl o javāñ ḳhurd o kalāñ piir o faqīr
jitne aalam meñ haiñ mohtāj o gadā shaah vazīr
sab ke dil hote haiñ phande meñ ḳhushāmad ke asiir
to bhī vallāh baḌī baat ye kahtā hai 'nazīr'
jo ḳhushāmad kare ḳhalq us se sadā raazī hai
haq to ye hai ki ḳhushāmad se ḳhudā raazī hai
dil KHushamad se har ek shaKHs ka kya raazi hai
aadmi jin pari o bhut bala raazi hai
bhai farzand bhi KHush bap chacha raazi hai
shad masrur ghani shah o gada raazi hai
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
apna matlab ho to matlab ki KHushamad kije
aur na ho kaam to us Dhab ki KHushamad kije
auliya ambiya aur rab ki KHushamad kije
apne maqdur gharaz sab ki KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
chaar din jis ko kiya jhuk ke KHushamad se salam
wo bhi KHush ho gaya apna bhi hua kaam mein kaam
baDe aaqil baDe dana ne nikala hai ye dam
KHub dekha to KHushamad hi ki aamad hai tamam
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
bad baKHil aur saKHi ki bhi KHushamad kije
aur jo shaitan ho to us ki bhi KHushamad kije
gar wali ho to wali ki bhi KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
pyar se joD diye jis ki taraf hath jo aah
wahin KHush ho gaya karte hi wo hathon pe nigah
ghaur se hum ne jo is baat ko dekha wallah
kuchh KHushamad hi baDi chiz hai allah allah
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi
pine aur pahanne khane ki KHushamad kije
hijDe bhanD zanane ki KHushamad kije
mast o hushiyar diwane ki KHushamad kije
bhole nadan siyane ki KHushamad kije
jau KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
aish karte hain wahi jin ka KHushamad ka mizaj
jo nahin karte wo rahte hain hamesha mohtaj
hath aata hai KHushamad se makan mulk aur taj
kya hi tasir ki is nusKHe ne pai hai riwaj
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
gar bhala ho to bhale ki bhi KHushamad kije
aur bura ho to bure ki bhi KHushamad kije
pak napak siDe ki bhi KHushamad kije
kutte billi o gadhe ki bhi KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
KHub dekha to KHushamad ki baDi kheti hai
ghair ki apne hi ghar bich ye sukh deti hai
man KHushamad ke sabab chhati laga leti hai
nani dadi bhi KHushamad se dua deti hai
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
bi-bi kahti hai miyan aa tere sadqe jaun
sas bole kahin mat ja tere sadqe jaun
KHala kahti hai ki kuchh kha tere sadqe jaun
sali kahti hai ki bhayya tere sadqe jaun
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
aa paDa hai jo KHushamad se sarokar use
DhunDte phirte hain ulfat ke KHaridar use
aashna milte hain aur chahe hain sab yar use
apne begane gharaz karte hain sab pyar use
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye ki KHushamad se KHuda raazi hai
rukhi aur roghni aabi ko KHushamad kije
nan-bai o kababi ki KHushamad kije
saqi o jam sharabi ki KHushamad kije
parsa rind KHarabi ki KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada araazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
jo ki karte hain KHushamad wo baDe hain insan
jo nahin karte wo rahte hain hamesha hairan
hath aate hain KHushamad se hazaron saman
jis ne ye baat nikali hai main us ke qurban
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
kauDi paise o Take zar ki KHushamad kije
lal o nilam dar o gauhar ki KHushamad kije
aur jo patthar ho to patthar ki KHushamad kije
nek o bad jitne hain yak-sar ki KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
hum ne har dil ki KHushamad ki mohabbat dekhi
pyar iKHlas o karam mehr murawwat dekhi
dilbaron mein bhi KHushamad hi ki ulfat dekhi
aashiqon main bhi KHushamad hi ki chahat dekhi
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
parsa pir hai zahid hai mana jati hai
juwariya chor daghabaz KHarabaati hai
mah se mahi talak chyunTi hai ya hathi hai
ye KHushamad to miyan sab ke tain bhati hai
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
gar na miThi ho to kaDwi bhi KHushamad kije
kuchh na ho pas to KHali bhi KHushamad kije
jaani dushman ho to us ki KHushamad kije
sach agar puchho to jhuTi bhi KHushamad kije
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
mard o zan tifl o jawan KHurd o kalan pir o faqir
jitne aalam mein hain mohtaj o gada shah wazir
sab ke dil hote hain phande mein KHushamad ke asir
to bhi wallah baDi baat ye kahta hai 'nazir'
jo KHushamad kare KHalq us se sada raazi hai
haq to ye hai ki KHushamad se KHuda raazi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.