KHushbu ka amal
aisā kyuuñ hotā hai
jab
barg zard
sukūt-āshnā ḳhalāoñ meñ āvāra
ḳhāmoshiyāñ
mausam-e-ḳhizāñ kī alāmat
dhaḌkaneñ
samā.at se māvarā
gardisheñ
nuqta-e-injimād par
aur phir
koī surḳh gulāb
Tahnī se TuuT jaatā hai
ye kaifiyat
saare chaman ko hairat-zada kar detī hai
gulāb ke judā hone par
siskiyāñ to ubhartī haiñ
magar
gulāb kī ḳhushbū kā amal jaarī rahtā hai
aisa kyun hota hai
jab
barg zard
sukut-ashna KHalaon mein aawara
KHamoshiyan
mausam-e-KHizan ki alamat
dhaDkanen
samaat se mawara
gardishen
nuqta-e-injimad par
aur phir
koi surKH gulab
Tahni se TuT jata hai
ye kaifiyat
sare chaman ko hairat-zada kar deti hai
gulab ke juda hone par
siskiyan to ubharti hain
magar
gulab ki KHushbu ka amal jari rahta hai
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 33)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.