KHushbu ka badan
farsh bikhrā huā us kā libās
raat kī har ek karvaT
us kī bāñhoñ chhātiyoñ
us kī kamar kī silvaToñ meñ
ab bhī jiitī jāgtī hai
sarsarātī saañs letī hai yahāñ
ek pāgal surḳh ḳhushbū kā libās
merī tanhā.ī ko phir se Dhāñptā hai
farsh bikhra hua us ka libas
raat ki har ek karwaT
us ki banhon chhatiyon
us ki kamar ki silwaTon mein
ab bhi jiti jagti hai
sarsaraati sans leti hai yahan
ek pagal surKH KHushbu ka libas
meri tanhai ko phir se Dhanpta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.