KHushbu ka libas
har taraf bikhrā huā us kā badan
raat kī har ek karvaT
us kī bāñhoñ, chhātiyoñ
us kī kamar kī silvaToñ meñ
ab bhī jītī-jāgtī hai
sarsarātī, saañs letī hai yahāñ
aur
ek pāgal surḳh ḳhushbū kā libās
merī tanhā.ī ko phir se Dhāñptā hai
har taraf bikhra hua us ka badan
raat ki har ek karwaT
us ki banhon, chhatiyon
us ki kamar ki silwaTon mein
ab bhi jiti-jagti hai
sarsaraati, sans leti hai yahan
aur
ek pagal surKH KHushbu ka libas
meri tanhai ko phir se Dhanpta hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 62)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.