KHushbu ka zawal
ek havelī Dhā kar!
tum ne ik ūñchā aivān banāyā
saare saaj farāham kar ke
ḳhuub sañvārā
ḳhuub sajāyā
aur havelī ke malbe ko!
aisī jagah pheñkvāyā
jahāñ par
ek gulāb kī shāḳh-e-nau par
ek navelā phuul khilā thā
phuul bhī kaisā!
jis se sab kī ruuh mo.attar ho jaatī thii!
ek haweli Dha kar!
tum ne ek uncha aiwan banaya
sare saj faraham kar ke
KHub sanwara
KHub sajaya
aur haweli ke malbe ko!
aisi jagah phenkwaya
jahan par
ek gulab ki shaKH-e-nau par
ek nawela phul khila tha
phul bhi kaisa!
jis se sab ki ruh moattar ho jati thi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.