KHushbu
maiñ karb meñ mubtalā thī
zindagī kī aziyyatoñ se do-chār
zindagī ke fāsle
aur maut ke qarīb
maiñ apnī ragoñ kī qaidī
apne dukhoñ ke hisār meñ thī
zindagī se duur hotī rahī thī
ki
mere jism meñ ek tanāv huā
aur dekhte hī dekhte vo mere jism kā ek hissa ban gayā
merī pahchān
mere pyaar kī taḳhlīq
mere ḳhuun kā vajūd
mujh meñ tahlīl ho gayā
maiñ zinda huuñ maiñ nikhar ga.ī
aur vo merī zindagī meñ bikhar ga.ī
mere pyaar kī ḳhushbū merī beTī
jo merā dūsrā janam hai
main karb mein mubtala thi
zindagi ki aziyyaton se do-chaar
zindagi ke fasle
aur maut ke qarib
main apni ragon ki qaidi
apne dukhon ke hisar mein thi
zindagi se dur hoti rahi thi
ki
mere jism mein ek tanaw hua
aur dekhte hi dekhte wo mere jism ka ek hissa ban gaya
meri pahchan
mere pyar ki taKHliq
mere KHun ka wajud
mujh mein tahlil ho gaya
main zinda hun main nikhar gai
aur wo meri zindagi mein bikhar gai
mere pyar ki KHushbu meri beTi
jo mera dusra janam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.