KHushbu
tire lams-e-dast-e-hasīñ kī
dil-āvez ḳhushbū
tirī uñgliyoñ se
mirī uñgliyoñ meñ guzartī huī jab
hathelī meñ utrī to maiñ ne
use dast-e-tishna
meñ kuchh is tarah se sameTā
ki mahfūz kar lūñgā shāyad abad tak
maiñ apne liye sirf apne liye
terā husn-e-shagufta jamāl-e-daraḳhshāñ
gumāñ se hasīñ ḳhvāb tak maiñ
ne mahsūs tujh ko kiyā paañv se sar talak ho gayā maiñ munavvar
kaf-e-ārzū kholtā huuñ
tujhe aaj āzād kartā huuñ bū-e-farozāñ
havāoñ meñ niilī fazāoñ meñ uḌtī phiro āsmānoñ ko chhū lo
sitāroñ pe utro
‘anāsir ko bāhoñ meñ le lo
ki ḳhushbū ho tum rang ho raushnī ho
sar-e-mausam-e-gul
sañvartī huī kaif-e-jashn-e-adā meñ
na.ī zindagī ho
tere lams-e-dast-e-hasin ki
dil-awez KHushbu
teri ungliyon se
meri ungliyon mein guzarti hui jab
hatheli mein utri to main ne
use dast-e-tishna
mein kuchh is tarah se sameTa
ki mahfuz kar lunga shayad abad tak
main apne liye sirf apne liye
tera husn-e-shagufta jamal-e-daraKHshan
guman se hasin KHwab tak main
ne mahsus tujh ko kiya panw se sar talak ho gaya main munawwar
kaf-e-arzu kholta hun
tujhe aaj aazad karta hun bu-e-farozan
hawaon mein nili fazaon mein uDti phiro aasmanon ko chhu lo
sitaron pe utro
‘anasir ko bahon mein le lo
ki KHushbu ho tum rang ho raushni ho
sar-e-mausam-e-gul
sanwarti hui kaif-e-jashn-e-ada mein
nai zindagi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.