KHushk-sali
Interesting Fact
The poem was written on a severe famine occurred in 1918.
ai dil-e-afsurda vo asrār-e-bātin kyā hue
soz kī rāteñ kahāñ haiñ saaz ke din kyā hue
āñsuoñ kī vo jhaḌī vo ġham kā sāmāñ kyā huā
terā sāvan kā mahīna chashm-e-giryāñ kyā huā
kyā huī bālā-e-sar vo lutf-e-yazdāñ kī ghaTā
āsmān-e-dil pe vo ghanghor irfāñ kī ghaTā
ab vo nāloñ kī garaj hai ab na vo shor-e-fuġhāñ
ab na uThtā hai kaleja se mohabbat kā dhuāñ
apne af.āl-e-siyah par ab pashemānī nahīñ
ab pasīne ke sitāre zeb-e-peshānī nahīñ
dard kī muddat se ab dil meñ chamak hotī nahīñ
vo tapak chhāloñ kī kauñde kī lapak hotī nahīñ
zikr-e-maulā se laboñ par ab vo narmī hī nahīñ
bhaap siine se uThe kyā dil meñ garmī hī nahīñ
ab sharāre soz-e-ġham ke dil meñ rahte hī nahīñ
ashk ab pichhle pahar āñkhoñ se bahte hī nahīñ
ma.arifat dil meñ na ab vo ruuh meñ ehsās hai
log kahte haiñ ki hai lekin hameñ to yaas hai
ab na vo āñkhoñ meñ ashk-e-ḳhūñ na vo dil meñ gudāz
ab na vo shām-e-tamannā hai na vo sub.h-e-niyāz
ḳhushk haiñ āñkheñ jabīneñ tañg siine sard haiñ
ab na vo dukhte hue dil haiñ na chehre zard haiñ
aah kī aur dil umañD aayā ye hotā hī nahīñ
Duub kar zauq-e-fanā meñ koī rotā hī nahīñ
phuul dāġhoñ se khile the jis dil-e-sarshār meñ
ḳhaak ab muddat se uḌtī hai usī gulzār meñ
āñsuoñ se nam jo rahtā thā vo dāmāñ jal gayā
lahlahātā thā jo siine meñ gulistāñ jal gayā
ruuh meñ bālīdgī kī quvvateñ ma.adūm haiñ
donoñ āñkheñ āñsuoñ ke faiz se mahrūm haiñ
pech-o-ḳham se bahne vaalā dil kā dariyā ḳhushk hai
vo bharī barsāt ya.anī chashm-e-bīnā ḳhushk hai
ḳhuun hai dil meñ magar pahlī sī tuġhyānī nahīñ
abr hai bād-e-muḳhālif se magar paanī nahīñ
jab ye aalam hai to bārish kī shikāyat kis liye
be-mahal ye hasrat-e-bārān-e-rahmat kis liye
ik mujassam ḳhushk-sālī ḳhud hamārī zaat hai
zid hamārī hastiyoñ kī abr hai barsāt hai
rahmatoñ se josh meñ aane kī ḳhvāhish kyā kareñ
ḳhud sarāpā qaht haiñ ummīd-e-bārish kyā kareñ
ai dil-e-afsurda wo asrar-e-baatin kya hue
soz ki raaten kahan hain saz ke din kya hue
aansuon ki wo jhaDi wo gham ka saman kya hua
tera sawan ka mahina chashm-e-giryan kya hua
kya hui baala-e-sar wo lutf-e-yazdan ki ghaTa
aasman-e-dil pe wo ghanghor irfan ki ghaTa
ab wo nalon ki garaj hai ab na wo shor-e-fughan
ab na uThta hai kaleja se mohabbat ka dhuan
apne afal-e-siyah par ab pashemani nahin
ab pasine ke sitare zeb-e-peshani nahin
dard ki muddat se ab dil mein chamak hoti nahin
wo tapak chhaalon ki kaunde ki lapak hoti nahin
zikr-e-maula se labon par ab wo narmi hi nahin
bhap sine se uThe kya dil mein garmi hi nahin
ab sharare soz-e-gham ke dil mein rahte hi nahin
ashk ab pichhle pahar aankhon se bahte hi nahin
marifat dil mein na ab wo ruh mein ehsas hai
log kahte hain ki hai lekin hamein to yas hai
ab na wo aankhon mein ashk-e-KHun na wo dil mein gudaz
ab na wo sham-e-tamanna hai na wo subh-e-niyaz
KHushk hain aankhen jabinen tang sine sard hain
ab na wo dukhte hue dil hain na chehre zard hain
aah ki aur dil umanD aaya ye hota hi nahin
Dub kar zauq-e-fana mein koi rota hi nahin
phul daghon se khile the jis dil-e-sarshaar mein
KHak ab muddat se uDti hai usi gulzar mein
aansuon se nam jo rahta tha wo daman jal gaya
lahlahata tha jo sine mein gulistan jal gaya
ruh mein baalidgi ki quwwaten madum hain
donon aankhen aansuon ke faiz se mahrum hain
pech-o-KHam se bahne wala dil ka dariya KHushk hai
wo bhari barsat yani chashm-e-bina KHushk hai
KHun hai dil mein magar pahli si tughyani nahin
abr hai baad-e-muKHalif se magar pani nahin
jab ye aalam hai to barish ki shikayat kis liye
be-mahal ye hasrat-e-baran-e-rahmat kis liye
ek mujassam KHushk-sali KHud hamari zat hai
zid hamari hastiyon ki abr hai barsat hai
rahmaton se josh mein aane ki KHwahish kya karen
KHud sarapa qaht hain ummid-e-barish kya karen
- Book : Kulliyat-e-Josh Maleeh aabadi (Pg. 85)
- Author : Josh Maleeh Aabadi
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.)Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.