KHun ka rang
kyoñ chalī kaise chalī ulTī zamāne kī havā kyā lahū ek nahīñ
ek bhaa.ī ne kisī bhaa.ī kā ghar luuT liyā
qatl mamtā ko kiyā nūr-e-nazar luuT liyā
chhīn lī kāñpte hoñToñ se javānī kī duā kyā lahū ek nahīñ
ādamiyyat ko numā.ish meñ sajā rakkhā hai
dharm ko jaise kitāboñ meñ chhupā rakkhā hai
jaise ehsās-e-mohabbat hai qayāmat kī balā kyā lahū ek nahīñ
azmat-e-amn kā paiġhām chale the le kar
bāda-e-sabr kā bhī jaam chale the le kar
shīsha-e-zabt to nāzuk thā magar TuuT gayā kyā lahū ek nahīñ
saath dīvāne chale ek hī manzil ke liye
ek kashtī thī ravāñ ek hī sāhil ke liye
maqsad-e-zīst magar jā ke kahīñ Duub gayā kyā lahū ek nahīñ
apne hī ḳhuun kī barkhā meñ nahā.e hai samāj
koī pūchhe to dahakte hue sho.aloñ kā mizāj
aag ye kis ne lagā.ī ye makāñ kis kā jalā kyā lahū ek nahīñ
apnī laġhzish pe nadāmat kā sahārā de de
aaj phir amn-o-mohabbat kā kinārā de de
kyā huā kaise huā yaar mire bhuul bhī jā kyā lahhū ek nahīñ
kyon chali kaise chali ulTi zamane ki hawa kya lahu ek nahin
ek bhai ne kisi bhai ka ghar luT liya
qatl mamta ko kiya nur-e-nazar luT liya
chhin li kanpte honTon se jawani ki dua kya lahu ek nahin
aadamiyyat ko numaish mein saja rakkha hai
dharm ko jaise kitabon mein chhupa rakkha hai
jaise ehsas-e-mohabbat hai qayamat ki bala kya lahu ek nahin
azmat-e-amn ka paigham chale the le kar
baada-e-sabr ka bhi jam chale the le kar
shisha-e-zabt to nazuk tha magar TuT gaya kya lahu ek nahin
sath diwane chale ek hi manzil ke liye
ek kashti thi rawan ek hi sahil ke liye
maqsad-e-zist magar ja ke kahin Dub gaya kya lahu ek nahin
apne hi KHun ki barkha mein nahae hai samaj
koi puchhe to dahakte hue shoalon ka mizaj
aag ye kis ne lagai ye makan kis ka jala kya lahu ek nahin
apni laghzish pe nadamat ka sahaara de de
aaj phir amn-o-mohabbat ka kinara de de
kya hua kaise hua yar mere bhul bhi ja kya lahhu ek nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.