KHun ke phul
jahāñ bhī ḳhuun Tapaktā hai sarfaroshoñ kā
buland ho ke vo dhartī gagan se miltī hai
uḌe jahāñ se shahīdoñ kai jism kī ḳhushbū
bahār aa ke gale us chaman se miltī hai
jo saath laa.e salīb-o-kafan kī sauġhāteñ
vo maut nāz-o-adā meñ dulhan se miltī hai
vafā baġhair lahū surḳh-rū nahīñ hotī
ye raah manzil-e-dār-o-rasan se miltī hai
nikhār detī hai ā.īna-e-jabīn-e-vatan
shuā-e-rang jo zaḳhm-e-badan se miltī hai
vo raushnī jo lab-e-zaḳhm se ubhartī hai
ufaq pe nāchtī hañstī kiran se miltī hai
vo surḳhī-e-sar-e-dāman jo ho vatan ke liye
jamāl-e-lāla-o-sarv-o-saman se miltī hai
vo maut jis se mahakte haiñ zindagī ke chaman
baḌe ḳhulūs baḌe bāñkpan se miltī hai
hayāt phuul bikhere tumhārī rāhoñ meñ
ki tum ne iid manā.ī hai razm-gāhoñ meñ
jahan bhi KHun Tapakta hai sarfaroshon ka
buland ho ke wo dharti gagan se milti hai
uDe jahan se shahidon kai jism ki KHushbu
bahaar aa ke gale us chaman se milti hai
jo sath lae salib-o-kafan ki saughaten
wo maut naz-o-ada mein dulhan se milti hai
wafa baghair lahu surKH-ru nahin hoti
ye rah manzil-e-dar-o-rasan se milti hai
nikhaar deti hai aaina-e-jabin-e-watan
shua-e-rang jo zaKHm-e-badan se milti hai
wo raushni jo lab-e-zaKHm se ubharti hai
ufaq pe nachti hansti kiran se milti hai
wo surKHi-e-sar-e-daman jo ho watan ke liye
jamal-e-lala-o-sarw-o-saman se milti hai
wo maut jis se mahakte hain zindagi ke chaman
baDe KHulus baDe bankpan se milti hai
hayat phul bikhere tumhaari rahon mein
ki tum ne id manai hai razm-gahon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.