KHun ki KHushbu
ḳhuun kī ḳhushbū uḌī to
ḳhud-kushī chīḳhī ki maiñ hī zindagī huuñ
aao ab is vasl kī saa.at ko chūmo
mar ga.ī thī jīte-jī maiñ
aur tum jiine kī ḳhātir
lamha lamha mar rahe the
ḳhud masīhā bhī the aur bīmār bhī the
(aur ḳhud apnī jarāhat ke liye tayyār bhī the)
aao ab jī bhar ke sūñgho
ḳhuun kī ḳhushbū ki maiñ hī zindagī huuñ
mere hoñToñ se piyo aao, mujhe bāhoñ meñ le lo
vasl kī saa.at yahī hai
tum faqat jiine kī koshish kar rahe the
jāñ-kanī ke lā-shu.ūrī ḳhvāb se le kar vilādat
ke shu.ūrī lamha-e-be-dār tak!
KHun ki KHushbu uDi to
KHud-kushi chiKHi ki main hi zindagi hun
aao ab is wasl ki saat ko chumo
mar gai thi jite-ji main
aur tum jine ki KHatir
lamha lamha mar rahe the
KHud masiha bhi the aur bimar bhi the
(aur KHud apni jarahat ke liye tayyar bhi the)
aao ab ji bhar ke sungho
KHun ki KHushbu ki main hi zindagi hun
mere honTon se piyo aao, mujhe bahon mein le lo
wasl ki saat yahi hai
tum faqat jine ki koshish kar rahe the
jaan-kani ke la-shuuri KHwab se le kar wiladat
ke shuuri lamha-e-be-dar tak!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.