KHun taza
mausam-e-sarmā kī raat
jis ke sardī meñ rache barfīle haath
jab bhī chhūte haiñ mujhe
kapkapā uThtā huuñ maiñ
maiñ ajab barzaḳh meñ huuñ
apnī biivī kā shanāsā jism bhī
ab mujhe sairāb kar saktā nahīñ
mere andar ḳhvāhishoñ kā ek pyāsā bheḌiyā
aaj be-kal hai bahut
ḳhūn-e-tāza ke liye
mausam-e-sarma ki raat
jis ke sardi mein rache barfile hath
jab bhi chhute hain mujhe
kapkapa uThta hun main
main ajab barzaKH mein hun
apni biwi ka shanasa jism bhi
ab mujhe sairab kar sakta nahin
mere andar KHwahishon ka ek pyasa bheDiya
aaj be-kal hai bahut
KHun-e-taza ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.