KHwab aur konplen
raat ke lambe saa.e
pairoñ se aa lipaTte haiñ
ai mere ham-safar
hama-tan-gosh rahnā
raqs se zarā der pahle
garm ḳhuun kī lau nāchtī hai
aur betābi hamesha
chāñd ko paañv lagā detī hai
ham kisī din yā
sūraj kī baat nahīñ kar rahe
kyā tumheñ patā nahīñ
ḳhvāb aur koñpleñ raat ko ugtī haiñ
aur din meñ kaaTī jaatī haiñ
raat ke lambe sae
pairon se aa lipaTte hain
ai mere ham-safar
hama-tan-gosh rahna
raqs se zara der pahle
garm KHun ki lau nachti hai
aur betabi hamesha
chand ko panw laga deti hai
hum kisi din ya
suraj ki baat nahin kar rahe
kya tumhein pata nahin
KHwab aur konplen raat ko ugti hain
aur din mein kaTi jati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.