KHwab dekhna
hai jahān-e-guzarāñ ḳhvāb kā bilkul naqsha
dīda-e-hazrat-e-insāñ ke liye dhokā sā
shādmānī kā tabassum hai ki aañsū ġham kā
ye bhī jhūTā hai jo merī suno vo bhī jhūTā
yaañ hai jo chiiz vo sachchī nahīñ juz nām-e-ḳhudā
nām-o-shohrat ke ye chumkāre bhī bilkul jhūTe
misl-e-nairañg-e-shafaq ham ne badalte dekhe
ishq-o-ummīd hai kyā husn samajhte ho kise
ye vo haiñ phuul chune jaa.eñ jo qabroñ ke liye
yaañ hai jo nuur vo qaa.em nahīñ juz zāt-e-ḳhudā
bahr-e-tufānī-e-duniyā meñ haiñ ham sar-gashta
mauj-e-ġham meñ hai jahāz apnā theater khātā
raushnī aql kī hai vahm kā yā chumkārā
in se tūfāñ ke sivā ham ne na kuchh bhī dekhā
yaañ hai jo shai bhī vo maskan nahīñ juz nām-e-ḳhudā
hai jahan-e-guzaran KHwab ka bilkul naqsha
dida-e-hazrat-e-insan ke liye dhoka sa
shadmani ka tabassum hai ki aansu gham ka
ye bhi jhuTa hai jo meri suno wo bhi jhuTa
yan hai jo chiz wo sachchi nahin juz nam-e-KHuda
nam-o-shohrat ke ye chumkare bhi bilkul jhuTe
misl-e-nairang-e-shafaq hum ne badalte dekhe
ishq-o-ummid hai kya husn samajhte ho kise
ye wo hain phul chune jaen jo qabron ke liye
yan hai jo nur wo qaem nahin juz zat-e-KHuda
bahr-e-tufani-e-duniya mein hain hum sar-gashta
mauj-e-gham mein hai jahaz apna theater khata
raushni aql ki hai wahm ka ya chumkara
in se tufan ke siwa hum ne na kuchh bhi dekha
yan hai jo shai bhi wo maskan nahin juz nam-e-KHuda
- Book : Jadeed Shora.e Urdu (Pg. 184)
- Author : Dr. Abdul Vaheed
- Publication : Firoz sons Printers Publishers Book sales
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.