KHwab
dil ko sāñsoñ ne ḳhasta kiyā
dhundle ho ga.e aañkh ke aa.ine
is liye ye zamīñ muskurāte hue hāñptī kāñptī dikh rahī hai
shab ke pichhle pahar chhūTne vaalī is rail kī āḳhirī sīTiyāñ
yaad kī gaThḌiyāñ
aur dil jaise raushan ilāqe meñ gahrā añdherā
samā.at pe tārīkiyoñ kā bunā ek jaalā
gumāñ ho rahā hai ki tasvīreñ giilī paḌī haiñ
aur un par mirī donoñ āñkheñ jamī haiñ
yahī kah rahī haiñ
sandesa koī mere baabā
mire bhaa.ī māthe pe bosa
dil ko sanson ne KHasta kiya
dhundle ho gae aankh ke aaine
is liye ye zamin muskuraate hue hanpti kanpti dikh rahi hai
shab ke pichhle pahar chhuTne wali is rail ki aaKHiri siTiyan
yaad ki gaThDiyan
aur dil jaise raushan ilaqe mein gahra andhera
samaat pe tarikiyon ka buna ek jala
guman ho raha hai ki taswiren gili paDi hain
aur un par meri donon aankhen jami hain
yahi kah rahi hain
sandesa koi mere baba
mere bhai mathe pe bosa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.