KHwab-e-faramosh
dil kī dhaḌkan se ayaañ zehn ke pardoñ meñ nihāñ
dhuñdlā dhuñdlā sā vo ik aks tire chehre kā
ek muddat huī dekhā thā tujhe
ḳhāl-o-ḳhat yaad na aa.e mujh ko
sub.h-dam jaise koī soch rahā ho baiThā
raat kyā ḳhvāb nazar aayā thā
aur ik umr guzar jaane par
daf.atan merī tamannā kī tarah
ā.īna-ḳhāna-e-tasvīr meñ aaj
jal uTheñ tere ḳhat-o-ḳhāl kī sham.eñ saarī
aur vahī raat kā bhūlā huā ḳhvāb
terī āñkhoñ tire aariz tire lab kī sūrat
sub.h-dam dekh rahā hai koī
dil ki dhaDkan se ayan zehn ke pardon mein nihan
dhundla dhundla sa wo ek aks tere chehre ka
ek muddat hui dekha tha tujhe
KHal-o-KHat yaad na aae mujh ko
subh-dam jaise koi soch raha ho baiTha
raat kya KHwab nazar aaya tha
aur ek umr guzar jaane par
dafatan meri tamanna ki tarah
aaina-KHana-e-taswir mein aaj
jal uThen tere KHat-o-KHal ki shamen sari
aur wahi raat ka bhula hua KHwab
teri aankhon tere aariz tere lab ki surat
subh-dam dekh raha hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.