KHwab-e-hasti
vo zamāne aur the jab terā ġham sahtā thā maiñ
jab tire hoñToñ kī rañgīnī se kuchh kahtā thā maiñ
jab tire bāloñ se ghanToñ kheltā rahtā thā maiñ
bhuul jā ai dost vo rañgīñ zamāne bhuul jā
yak-ba-yak bijlī sī chamkī aur nasheman luT gayā
tū ne barsoñ jis ko sīñchā thā vo gulshan luT gayā
tū ne motī jis meñ Tāñke the vo dāman luT gayā
bhuul jā ai dost vo rañgīñ zamāne bhuul jā
tujh ko jis dil se mohabbat thī vo ab dil hī nahīñ
raqs jis kā tujh ko bhātā thā vo bismil hī nahīñ
rañg-e-mahfil tujh se kyā kahiye vo mahfil hī nahīñ
bhuul jā ai dost vo rañgīñ zamāne bhuul jā
ab na vo shauq-e-tasavvur, ab na vo zauq-e-fuġhāñ
miT rahe haiñ rafta rafta ahd-e-rafta ke nishāñ
dhundlī dhundlī sī nazar aatī haiñ kuchh parchhā.iyāñ
bhuul jā ai dost vo rañgīñ zamāne bhuul jā
ye javānī, ye pareshānī, ye paiham iztirāb
bār-hā uljhan meñ dauḌā huuñ sū-e-jām-e-sharāb
bār-hā ghabrā ke chheḌā hai gunāhoñ kā rabāb
bhuul jā ai dost vo rañgīñ zamāne bhuul jā
rañg-e-sahbā aur hai sahbā kī mastī aur hai
zikr-e-pastī aur hai ehsās-e-pastī aur hai
ḳhvāb-e-hastī aur hai ta.abīr-e-hastī aur hai
bhuul jā ai dost vo rañgīñ zamāne bhuul jā
wo zamane aur the jab tera gham sahta tha main
jab tere honTon ki rangini se kuchh kahta tha main
jab tere baalon se ghanTon khelta rahta tha main
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
yak-ba-yak bijli si chamki aur nasheman luT gaya
tu ne barson jis ko sincha tha wo gulshan luT gaya
tu ne moti jis mein Tanke the wo daman luT gaya
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
tujh ko jis dil se mohabbat thi wo ab dil hi nahin
raqs jis ka tujh ko bhata tha wo bismil hi nahin
rang-e-mahfil tujh se kya kahiye wo mahfil hi nahin
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
ab na wo shauq-e-tasawwur, ab na wo zauq-e-fughan
miT rahe hain rafta rafta ahd-e-rafta ke nishan
dhundli dhundli si nazar aati hain kuchh parchhaiyan
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
ye jawani, ye pareshani, ye paiham iztirab
bar-ha uljhan mein dauDa hun su-e-jam-e-sharab
bar-ha ghabra ke chheDa hai gunahon ka rabab
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
rang-e-sahba aur hai sahba ki masti aur hai
zikr-e-pasti aur hai ehsas-e-pasti aur hai
KHwab-e-hasti aur hai tabir-e-hasti aur hai
bhul ja ai dost wo rangin zamane bhul ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.