KHwab-e-sahar
mahr sadiyoñ se chamaktā hī rahā aflāk par
raat hī taarī rahī insān ke idrāk par
aql ke maidān meñ zulmat kā Derā hī rahā
dil meñ tārīkī dimāġhoñ meñ añdherā hī rahā
ik na ik maz.hab kī sa.ī-e-ḳhām bhī hotī rahī
ahl-e-dil par bārish-e-ilhām bhī hotī rahī
āsmānoñ se farishte bhī utarte hī rahe
nek bande bhī ḳhudā kā kaam karte hī rahe
ibn-e-maryam bhī uThe mūsī-e-imrāñ bhī uThe
raam o gautam bhī uThe fir.aun o hāmāñ bhī uThe
ahl-e-saif uThte rahe ahl-e-kitāb aate rahe
iiñ janāb uThte aur āñ-janāb aate rahe
hukmarāñ dil par rahe sadiyoñ talak asnām bhī
abr-e-rahmat ban ke chhāyā dahr par islām bhī
masjidoñ meñ maulvī ḳhutbe sunāte hī rahe
mandiroñ meñ barhaman ashlok gaate hī rahe
aadmī minnat-kash-e-arbāb-e-irfāñ hī rahā
dard-e-insānī magar mahrūm-e-darmāñ hī rahā
ik na ik dar par jabīn-e-shauq ghistī hī rahī
ādamiyyat zulm kī chakkī meñ pastī hī rahī
rahbarī jaarī rahī paiġhambarī jaarī rahī
diin ke parde meñ jañg-e-zargarī jaarī rahī
ahl-e-bātin ilm se sīnoñ ko garmāte rahe
jahl ke tārīk saa.e haath phailāte rahe
ye musalsal āfateñ ye yorish ye qatl-e-ām
aadmī kab tak rahe auhām-e-bātil kā ġhulām
zehan-e-insānī ne ab auhām ke zulmāt meñ
zindagī kī saḳht tūfānī añdherī raat meñ
kuchh nahīñ to kam se kam ḳhvāb-e-sahar dekhā to hai
jis taraf dekhā na thā ab tak udhar dekhā to hai
mahr sadiyon se chamakta hi raha aflak par
raat hi tari rahi insan ke idrak par
aql ke maidan mein zulmat ka Dera hi raha
dil mein tariki dimaghon mein andhera hi raha
ek na ek mazhab ki sai-e-KHam bhi hoti rahi
ahl-e-dil par barish-e-ilham bhi hoti rahi
aasmanon se farishte bhi utarte hi rahe
nek bande bhi KHuda ka kaam karte hi rahe
ibn-e-maryam bhi uThe musi-e-imran bhi uThe
ram o gautam bhi uThe firaun o haman bhi uThe
ahl-e-saif uThte rahe ahl-e-kitab aate rahe
in janab uThte aur aan-janab aate rahe
hukmaran dil par rahe sadiyon talak asnam bhi
abr-e-rahmat ban ke chhaya dahr par islam bhi
masjidon mein maulwi KHutbe sunate hi rahe
mandiron mein barhaman ashlok gate hi rahe
aadmi minnat-kash-e-arbab-e-irfan hi raha
dard-e-insani magar mahrum-e-darman hi raha
ek na ek dar par jabin-e-shauq ghisti hi rahi
aadamiyyat zulm ki chakki mein pasti hi rahi
rahbari jari rahi paighambari jari rahi
din ke parde mein jang-e-zargari jari rahi
ahl-e-baatin ilm se sinon ko garmate rahe
jahl ke tarik sae hath phailate rahe
ye musalsal aafaten ye yorish ye qatl-e-am
aadmi kab tak rahe auham-e-baatil ka ghulam
zehan-e-insani ne ab auham ke zulmat mein
zindagi ki saKHt tufani andheri raat mein
kuchh nahin to kam se kam KHwab-e-sahar dekha to hai
jis taraf dekha na tha ab tak udhar dekha to hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.