KHwab
ek bachchī huā kartī thī
bahut achchhī huā kartī thī
sharīr se ziyāda vo ḳhvāb huā kartī thī
machlī sī vo āñkheñ hamdam
bas ḳhvāb bunā kartī thī
ek bachchī huā kartī thī
bahut achchhī huā kartī thī
na vāsta logoñ se thā
na khelnā bātoñ se thā
na bāteñ duniyā-dārī kī thī
na matlab kī duniyā saarī thī
na qisse logoñ kī nafrat ke the
na hisse un kī hī hasrat ke the
jo TuuT ga.e kahīñ raah meñ
jo rah ga.e kahīñ bas aah meñ
rāheñ har dam saaf thī
sab kī ġhalatiyāñ bhī muaaf thī
dil meñ bojh nahīñ rakhtī thī
vo ḳhvāb se khelā kartī thī
sharīr se zyāda vo ḳhud ḳhvāb huā kartī thī
ek bachchī huā kartī thī
dil kī sachchī huā kartī thī
dostoñ kī kamī na thī
par khud se ziyāda kisī se jamī na thī
tab to rab hī bhagvān huā karte the
aur bhagvān se ham bātoñ meñ duā karte the
zabāñ pe shabd bahut saare na hoñ
par bhāūnā.ūñ kī kamī na thī
mushkiloñ ko bhī hañs kar jiite the
haañ rote be-shak the
par kabhī hausle past hoñ
āñkhoñ meñ aisī namī na thī
biite ko chhoḌ diyā shikvoñ ko bhī moḌ diyā
pyaar jahāñ se miltā thā
vahāñ ḳhud ko us ne toḌ diyā
ummīdeñ us meñ ḳhuub bharī thī
ġhalatiyāñ us ne bhī ḳhuub karī thī
par dil saaf thā uupar rab kā haath thā
to bas bātoñ meñ hī
to bas kāñToñ se bhī
dostī sachchī kyā kartī thī
ek bachchī huā kartī thī
irādoñ kī pakkī huā kartī thī
na zamāne kā Dar
vo thī be-fikr
ab zanjīreñ us pe laad dī
sau chīzeñ dimāġh meñ Daal dī
zimmedārī ke naam par
āzādī us kī maar dī
aañsū us kī kamzorī the
par kamzorī se vo zaar thī
is liye to unhī kī aaḌ meñ sab ne
jiit us se chhīn lī
har-dam us ko haar dī
par kahā na vo aam na thī
khud se vo anjān na thī
use ma.alūm thā kyā chal rahā hai
kaun kis se rahā hai hai
kaun kaise sambhal rahā hai
vo khud ko uThāne meñ maanā kartī thī
vaqt aane par
vo khud ko jhukāne meñ maanā kartī thī
maanā jiit chāhtī thī
par kisī ko girānā us kī fitrat meñ na thā
choT denā kisī ko usī hasrat meñ na thā
āḳhir rog-har thī vo
bātoñ se upchār kiyā kartī thī
logoñ ko ḳhvāb dikhā kar
ḳhud upchār huā kartī thī
ek bachchī huā kartī thī
baḌī achchhī huā kartī thī
kahīñ kho gayā vo bachpanā
kahīñ kho ga.ī vo bachchī
jo achchhī huā kartī thī
jo sachchī huā kartī thī
ab bhī dil us kā bachcha hai par duniyā dekh ro gayā
nā-ummīdī kī is bhiiḌ meñ vo ummīdoñ sañg bhī kho gayā
ek aah jo chhūTī thī ummīd us kī jo luuTī thī
use toḌ toḌ kar
ab joḌ joḌ kar
vo aas joḌne chalī hai
ruuh jaan kar apnī vo
ye raaz chhoḌne chalī hai
zanjīroñ kī is duniyā ke sab
vo bandhan toḌne chalī hai
har TeḌhī rāhoñ ko vo kuchh aise moḌ ne chalī hai
ke dikh to ho par hatāsha na ho
ek junūn ho par be-tahāsha na ho
vo chāhtī hai
har chāhat meñ ek chāhat ho
jo kisī se ġhalat na hone de
jo kisī ko ġhalat na hone de
vo chāhtī hai
har aadat meñ ek aadat ho
jo aadat bigaḌne na de
jo lat ko junūn se bhiDne na de
vo chāhtī hai
har aahaT meñ ek aahaT ho
jo dil ko bhaTakne na de
jo sahī ko ġhalat se jhaTakne na de
jo ummīdoñ ko raah meñ laTakne na de
vo chāhtī hai
har baDappan meñ bhī bachpan ho
umr chāhe phir pachpan ho
vo chāhtī hai
nā-ummīdī ke in bhañvaroñ meñ bhī
ummīdoñ kā sūraj nikle
patthar kī in mūrat meñ bhī
kahīñ to chhupā mom pighle
vo chāhtī hai
ki ek din koī jhaTkā mile
zindagī ko pata chale
ki zindagī baaqī hai
vo chāhtī hai
vo chāhtī hai ek sapnā paanā
phir se apne sapne jiinā
phir se har ik ḳhvāb bunñā
phir se har ik kāñTā chunñā
par is baar vo chāhtī hai
phir se vo ik bachchī banñā
jise gaayā kartī thī
duniyā sunāyā kartī thī
vo chāhtī hai
phir se vo ek bachchī banñā
ki duniyā phir se ga.e
ye duniyā phir sunā.e
ki ek bachchī huā kartī thī
bahut achchhī huā kartī thī
vo ḳhvāb chunñā jāntī thī
vo ḳhvāb bunñā jāntī thī
sharīr se ziyāda maiñ ḳhud ḳhvāb huā kartī thī
ek bachchī huā kartī thī
ek bachchi hua karti thi
bahut achchhi hua karti thi
sharir se ziyaada wo KHwab hua karti thi
machli si wo aankhen hamdam
bas KHwab buna karti thi
ek bachchi hua karti thi
bahut achchhi hua karti thi
na wasta logon se tha
na khelna baaton se tha
na baaten duniya-dari ki thi
na matlab ki duniya sari thi
na qisse logon ki nafrat ke the
na hisse un ki hi hasrat ke the
jo TuT gae kahin rah mein
jo rah gae kahin bas aah mein
rahen har dam saf thi
sab ki ghalatiyan bhi muaf thi
dil mein bojh nahin rakhti thi
wo KHwab se khela karti thi
sharir se zyaada wo KHud KHwab hua karti thi
ek bachchi hua karti thi
dil ki sachchi hua karti thi
doston ki kami na thi
par khud se ziyaada kisi se jami na thi
tab to rab hi bhagwan hua karte the
aur bhagwan se hum baaton mein dua karte the
zaban pe shabd bahut sare na hon
par bhaunaun ki kami na thi
mushkilon ko bhi hans kar jite the
han rote be-shak the
par kabhi hausle past hon
aankhon mein aisi nami na thi
bite ko chhoD diya shikwon ko bhi moD diya
pyar jahan se milta tha
wahan KHud ko us ne toD diya
ummiden us mein KHub bhari thi
ghalatiyan us ne bhi KHub kari thi
par dil saf tha upar rab ka hath tha
to bas baaton mein hi
to bas kanTon se bhi
dosti sachchi kya karti thi
ek bachchi hua karti thi
iradon ki pakki hua karti thi
na zamane ka Dar
wo thi be-fikr
ab zanjiren us pe lad di
sau chizen dimagh mein Dal di
zimmedari ke nam par
aazadi us ki mar di
aansu us ki kamzori the
par kamzori se wo zar thi
is liye to unhi ki aaD mein sab ne
jit us se chhin li
har-dam us ko haar di
par kaha na wo aam na thi
khud se wo anjaan na thi
use malum tha kya chal raha hai
kaun kis se raha hai hai
kaun kaise sambhal raha hai
wo khud ko uThane mein mana karti thi
waqt aane par
wo khud ko jhukane mein mana karti thi
mana jit chahti thi
par kisi ko girana us ki fitrat mein na tha
choT dena kisi ko usi hasrat mein na tha
aaKHir rog-har thi wo
baaton se upchaar kiya karti thi
logon ko KHwab dikha kar
KHud upchaar hua karti thi
ek bachchi hua karti thi
baDi achchhi hua karti thi
kahin kho gaya wo bachpana
kahin kho gai wo bachchi
jo achchhi hua karti thi
jo sachchi hua karti thi
ab bhi dil us ka bachcha hai par duniya dekh ro gaya
na-ummidi ki is bhiD mein wo ummidon sang bhi kho gaya
ek aah jo chhuTi thi ummid us ki jo luTi thi
use toD toD kar
ab joD joD kar
wo aas joDne chali hai
ruh jaan kar apni wo
ye raaz chhoDne chali hai
zanjiron ki is duniya ke sab
wo bandhan toDne chali hai
har TeDhi rahon ko wo kuchh aise moD ne chali hai
ke dikh to ho par hatasha na ho
ek junun ho par be-tahasha na ho
wo chahti hai
har chahat mein ek chahat ho
jo kisi se ghalat na hone de
jo kisi ko ghalat na hone de
wo chahti hai
har aadat mein ek aadat ho
jo aadat bigaDne na de
jo lat ko junun se bhiDne na de
wo chahti hai
har aahaT mein ek aahaT ho
jo dil ko bhaTakne na de
jo sahi ko ghalat se jhaTakne na de
jo ummidon ko rah mein laTakne na de
wo chahti hai
har baDappan mein bhi bachpan ho
umr chahe phir pachpan ho
wo chahti hai
na-ummidi ke in bhanwaron mein bhi
ummidon ka suraj nikle
patthar ki in murat mein bhi
kahin to chhupa mom pighle
wo chahti hai
ki ek din koi jhaTka mile
zindagi ko pata chale
ki zindagi baqi hai
wo chahti hai
wo chahti hai ek sapna pana
phir se apne sapne jina
phir se har ek KHwab bunna
phir se har ek kanTa chunna
par is bar wo chahti hai
phir se wo ek bachchi banna
jise gaya karti thi
duniya sunaya karti thi
wo chahti hai
phir se wo ek bachchi banna
ki duniya phir se gae
ye duniya phir sunae
ki ek bachchi hua karti thi
bahut achchhi hua karti thi
wo KHwab chunna jaanti thi
wo KHwab bunna jaanti thi
sharir se ziyaada main KHud KHwab hua karti thi
ek bachchi hua karti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.