KHwab-farosh
phir usī shahr meñ aa.e ho palaT kar ki jahāñ
chand hote haiñ jo tum ne dikhā.e the ḳhvāb
chand din hote haiñ jab tum ne sajā.e the gulāb
jin meñ ḳhushbū bhī thī aur rañg bhī mānind-e-shahāb
tum ga.e ḳhvāb rahe aur zamāne ke azaab
DhūñDte rah ga.e lab kitne savāloñ ke javāb
ab jo aa.e ho to itnā sā karam kar jaanā
ab ke bīmār se ḳhvāboñ kī mahak mat laanā
ab jo dikhlānā to kuchh ḳhvāb na.e dikhlānā
aise kuchh ḳhvāb zamīnoñ ko jo shādāb kareñ
aise kuchh ḳhvāb jo shahroñ ko bhī shādāb kareñ
aise kuchh ḳhvāb jo taqdīr ḳhayālāt ke hoñ
aise kuchh ḳhvāb jo mīrās hoñ insānoñ kī
tum jo aisā na karoge to vahī ġham hoñge
rabt-e-bāham ke na asbāb farāham hoñge
mutma.in ḳhud se kahīñ tum na kahīñ ham hoñge
phir usi shahr mein aae ho palaT kar ki jahan
chand hote hain jo tum ne dikhae the KHwab
chand din hote hain jab tum ne sajae the gulab
jin mein KHushbu bhi thi aur rang bhi manind-e-shahab
tum gae KHwab rahe aur zamane ke azab
DhunDte rah gae lab kitne sawalon ke jawab
ab jo aae ho to itna sa karam kar jaana
ab ke bimar se KHwabon ki mahak mat lana
ab jo dikhlana to kuchh KHwab nae dikhlana
aise kuchh KHwab zaminon ko jo shadab karen
aise kuchh KHwab jo shahron ko bhi shadab karen
aise kuchh KHwab jo taqdir KHayalat ke hon
aise kuchh KHwab jo miras hon insanon ki
tum jo aisa na karoge to wahi gham honge
rabt-e-baham ke na asbab faraham honge
mutmain KHud se kahin tum na kahin hum honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.