KHwab
hisār-e-rañj meñ rahte hue tujhe chāhūñ
ġhubār-e-rāh-e-yaqīñ meñ sadā tujhe dekhūñ
jabīn-e-vaqt pe har-ān bas tujhe likkhūñ
charāġh-e-hijr banūñ rāt-bhar tirī āñkhoñ
ke jañgaloñ meñ karūñ raushnī uḌā.ūñ tirī
sunahrī niiñd añdheroñ bhare makānoñ meñ
tire vajūd se apnā vajūd bāñdh ke maiñ
samundaroñ meñ karūñ raqs jal-parī kī tarah
sunā.ūñ shā.irī tujh par likhī ġhazāloñ ko
banā.ūñ lams tirā itr meñ karūñ nīlām
tamām-shahr ke aage use bane jannat
har ik darīcha khule jo qabā tirī hī mahak
uThe jahāñ se bhī guzrūñ faqat tirī ḳhushbū
kare tavāf mirā kū-ba-kū faqat to ho
ai shaḳhs tere jamāl-e-javān kī saugand
dhaḌak rahā hai hamesha mirī ragoñ meñ tū
tirā sarāpā adab kī kitāb jaisā hai
tujhe paḌhūñ tujhe likkhūñ tujhe sunūñ har-vaqt
kisī sahīfe kī tafsīr tarjuma tirā jism
kisī qadīm qalam se likhā huā tirā ism
kisī charāġh se miltā huā tirā chehra
kisī dahaktī huī shaam sī tirī āñkheñ
kisī bikhartī huī dāstān sī zulfeñ
kisī gulāb se ārāsta tape hue gaal
larazte hoñT shikasta-suḳhan Darā lahja
chamakte haath sulagtī huī jabīñ pe jamī
ġhamoñ kī gard mujhe ki rahī hai chuum ke maiñ
niDhāl pair tire aable ginūñ saare
thakān saarī utārūñ tirī dabā.ūñ sar
pilā.ūñ sharbat-e-sandal sañvār ke tire baal
karūñ maiñ pyaar se kañghī likhūñ safar pe tire
maiñ aisī nazm koī jo tujhe rakhe sarsabz
tirī bujhī huī āñkheñ bharūñ maiñ ḳhvāboñ se
tire dukhoñ kā sukhoñ se sadā ilaaj karūñ
sunā.ūñ nazm tumheñ maiñ gale lagā ke na.ī
tumhārī shirt pe meñ āñsuoñ se kaaj karūñ
hisar-e-ranj mein rahte hue tujhe chahun
ghubar-e-rah-e-yaqin mein sada tujhe dekhun
jabin-e-waqt pe har-an bas tujhe likkhun
charagh-e-hijr banun raat-bhar teri aankhon
ke jangalon mein karun raushni uDaun teri
sunahri nind andheron bhare makanon mein
tere wajud se apna wajud bandh ke main
samundaron mein karun raqs jal-pari ki tarah
sunaun shairi tujh par likhi ghazalon ko
banaun lams tera itr mein karun nilam
tamam-shahr ke aage use bane jannat
har ek daricha khule jo qaba teri hi mahak
uThe jahan se bhi guzrun faqat teri KHushbu
kare tawaf mera ku-ba-ku faqat to ho
ai shaKHs tere jamal-e-jawan ki saugand
dhaDak raha hai hamesha meri ragon mein tu
tera sarapa adab ki kitab jaisa hai
tujhe paDhun tujhe likkhun tujhe sunun har-waqt
kisi sahife ki tafsir tarjuma tera jism
kisi qadim qalam se likha hua tera ism
kisi charagh se milta hua tera chehra
kisi dahakti hui sham si teri aankhen
kisi bikharti hui dastan si zulfen
kisi gulab se aarasta tape hue gal
larazte honT shikasta-suKHan Dara lahja
chamakte hath sulagti hui jabin pe jami
ghamon ki gard mujhe ki rahi hai chum ke main
niDhaal pair tere aable ginun sare
thakan sari utarun teri dabaun sar
pilaun sharbat-e-sandal sanwar ke tere baal
karun main pyar se kanghi likhun safar pe tere
main aisi nazm koi jo tujhe rakhe sarsabz
teri bujhi hui aankhen bharun main KHwabon se
tere dukhon ka sukhon se sada ilaj karun
sunaun nazm tumhein main gale laga ke nai
tumhaari shirt pe mein aansuon se kaj karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.