KHwab
jaane kitne sapne dekhe
jīvan ke is ruup nagar meñ
varshā rut meñ jaise musāfir
prīt-Dagar par prem-safar meñ
sapne jin meñ komal pariyāñ
par phailā.e Dol rahī haiñ
āshāoñ ke giit kī lai par
amrit-ras ko ghol rahī haiñ
maiñ ne sochā miit sabhī haiñ
ye saarā sansār hai apnā
saare jag kī riit yahī hai
kaḌvī nīñdeñ mīThā sapnā
dhartī kī is phulvārī meñ
chāñd sitāroñ ke darpan meñ
maiñ ne dekhī apnī chhāyā
jag meñ sab apne haiñ to phir
koī kisī kā bairī kyoñ ho
hoñToñ par muskān to bikhre
man meñ uljhan Therī kyoñ ho
jaane kitne sapne dekhe
jiwan ke is rup nagar mein
warsha rut mein jaise musafir
prit-Dagar par prem-safar mein
sapne jin mein komal pariyan
par phailae Dol rahi hain
aashaon ke git ki lai par
amrit-ras ko ghol rahi hain
main ne socha mit sabhi hain
ye sara sansar hai apna
sare jag ki rit yahi hai
kaDwi ninden miTha sapna
dharti ki is phulwari mein
chand sitaron ke darpan mein
main ne dekhi apni chhaya
jag mein sab apne hain to phir
koi kisi ka bairi kyon ho
honTon par muskan to bikhre
man mein uljhan Theri kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.