KHwab jo bikhar gae
Interesting Fact
Ten minutes after reciting this poem in a mushaira in Pune on April 12, 1975, Maulana passed away.
jinheñ sahar nigal ga.ii, vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kii, sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
mujhe namak kī kaan meñ miThās kī talāsh hai
barahnagī ke shahr meñ libās kī talāsh hai
vo barf-bāriyāñ huiiñ ki pyaas ḳhud hī bujh ga.ī
maiñ sāġharoñ ko kyā karūñ ki pyaas kī talāsh hai
ghirā huā hai abr māhtāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ii, vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jo ruk sake to rok do ye sail rañg-o-nūr kā
mirī nazar ko chāhiye vahī charāġh duur kā
khaTak rahī hai har kiran nazar meñ ḳhaar kī tarah
chhupā diyā hai tābishoñ ne aa.ina shu.ūr kā
nigāh-e-shauq jal uThī hijāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
ye dhuup zard zard sī ye chāñdnī dhuāñ dhuāñ
ye tal.ateñ bujhī bujhī, ye daaġh daaġh kahkashāñ
ye surḳh surḳh phuul haiñ ki zaḳhm haiñ bahār ke
ye os kī phuvār haiñ, ki ro rahā hai āsmāñ
dil o nazar ke motiyoñ kī aab DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
ye talḳh talḳh rāhateñ, jarāhateñ liye hue
ye ḳhūñ-chakāñ latāfateñ kasāfateñ liye hue
ye taar taar pairahan urūsa-e-bahār kā
ye ḳhanda-zan sadāqateñ qayāmateñ liye hue
zamīn kī tahoñ meñ āftāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jo marhaloñ meñ saath the vo manziloñ pe chhuT ga.e
jo raat meñ luTe na the vo dopahar meñ luT ga.e
magan thā maiñ ki pyaar ke bahut se giit gā.uñgā
zabān guñg ho ga.ii, gale meñ giit ghuT ga.e
kaTī huī haiñ uñgliyāñ rubāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
ye kitne phuul TuuT kar bikhar ga.e ye kyā huā
ye kitne phuul shāḳhchoñ pe mar ga.e ye kyā huā
baḌhī jo tez raushnī chamak uThī ravish ravish
magar lahū ke daaġh bhī ubhar ga.e ye kyā huā
inheñ chhupā.ūñ kis tarah naqāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
ḳhushā vo daur-e-be-ḳhudī ki justujū-e-yār thī
jo dard meñ surūr thā to be-kalī qarār thī
kisī ne zahr-e-ġham diyā to muskurā ke pī ga.e
taḌap meñ bhī sukūñ na thaa, ḳhalish bhī sāzgār thī
hayāt-e-shauq kā vahī sarāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
ḳhulūs-e-be-shu.ūr kī vo zūd-etabāriyāñ
vo shauq-e-sāda-lauh kī hasīn ḳhām-kāriyāñ
na.ī sahar ke ḳhāl-o-ḳhad, nigāh meñ base hue
ḳhayāl hī ḳhayāl meñ, vo hāshiya-nigāriyāñ
jo de gayā fareb vo, shabāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
vo la.al o lab ke tazkire, vo zulf o ruḳh ke zamzame
vo kārobār-e-ārzū vo valvale, vo hamhame
dil o nazar kī jaan thā vo daur jo guzar gayā
na ab kisī se dil lage na ab kahīñ nazar jame
samand-e-vaqt jā chukā rikāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
na ishq bā-adab rahā, na husn meñ hayā rahī
havas kī dhūm-dhām hai, nagar nagar, galī galī
qadam qadam khule hue haiñ makr-o-fan ke madrase
magar ye merī sādgī to dekhiye ki aaj bhī
vafā kī dars-gāhoñ kā nisāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ meñ
bahut dinoñ meñ rāsta harīm-e-nāz kā milā
magar harīm-e-nāz tak pahuñch ga.e to kyā milā
mire safar ke sāthiyo! tumhīñ se pūchhtā huuñ maiñ
batāo kyā sanam mile, batāo kyā ḳhudā milā
javāb chāhiye mujhe javāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinheñ sahar nigal ga.ī vo ḳhvāb DhūñDhtā huuñ maiñ
kahāñ ga.ī vo niiñd kī sharāb DhūñDhtā huuñ maiñ
jinhen sahar nigal gai, wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki, sharab DhunDhta hun main
mujhe namak ki kan mein miThas ki talash hai
barahnagi ke shahr mein libas ki talash hai
wo barf-bariyan huin ki pyas KHud hi bujh gai
main sagharon ko kya karun ki pyas ki talash hai
ghira hua hai abr mahtab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai, wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
jo ruk sake to rok do ye sail rang-o-nur ka
meri nazar ko chahiye wahi charagh dur ka
khaTak rahi hai har kiran nazar mein KHar ki tarah
chhupa diya hai tabishon ne aaina shuur ka
nigah-e-shauq jal uThi hijab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
ye dhup zard zard si ye chandni dhuan dhuan
ye talaten bujhi bujhi, ye dagh dagh kahkashan
ye surKH surKH phul hain ki zaKHm hain bahaar ke
ye os ki phuwar hain, ki ro raha hai aasman
dil o nazar ke motiyon ki aab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
ye talKH talKH rahaten, jarahaten liye hue
ye KHun-chakan latafaten kasafaten liye hue
ye tar tar pairahan urusa-e-bahaar ka
ye KHanda-zan sadaqaten qayamaten liye hue
zamin ki tahon mein aaftab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
jo marhalon mein sath the wo manzilon pe chhuT gae
jo raat mein luTe na the wo dopahar mein luT gae
magan tha main ki pyar ke bahut se git gaunga
zaban gung ho gai, gale mein git ghuT gae
kaTi hui hain ungliyan rubab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
ye kitne phul TuT kar bikhar gae ye kya hua
ye kitne phul shaKHchon pe mar gae ye kya hua
baDhi jo tez raushni chamak uThi rawish rawish
magar lahu ke dagh bhi ubhar gae ye kya hua
inhen chhupaun kis tarah naqab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
KHusha wo daur-e-be-KHudi ki justuju-e-yar thi
jo dard mein surur tha to be-kali qarar thi
kisi ne zahr-e-gham diya to muskura ke pi gae
taDap mein bhi sukun na tha, KHalish bhi sazgar thi
hayat-e-shauq ka wahi sarab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
KHulus-e-be-shuur ki wo zud-etabariyan
wo shauq-e-sada-lauh ki hasin KHam-kariyan
nai sahar ke KHal-o-KHad, nigah mein base hue
KHayal hi KHayal mein, wo hashiya-nigariyan
jo de gaya fareb wo, shabab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
wo lal o lab ke tazkire, wo zulf o ruKH ke zamzame
wo karobar-e-arzu wo walwale, wo hamhame
dil o nazar ki jaan tha wo daur jo guzar gaya
na ab kisi se dil lage na ab kahin nazar jame
samand-e-waqt ja chuka rikab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
na ishq ba-adab raha, na husn mein haya rahi
hawas ki dhum-dham hai, nagar nagar, gali gali
qadam qadam khule hue hain makr-o-fan ke madrase
magar ye meri sadgi to dekhiye ki aaj bhi
wafa ki dars-gahon ka nisab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun mein
bahut dinon mein rasta harim-e-naz ka mila
magar harim-e-naz tak pahunch gae to kya mila
mere safar ke sathiyo! tumhin se puchhta hun main
batao kya sanam mile, batao kya KHuda mila
jawab chahiye mujhe jawab DhunDhta hun main
jinhen sahar nigal gai wo KHwab DhunDhta hun main
kahan gai wo nind ki sharab DhunDhta hun main
- Book : Ye Qadam Qadam Balaen (Pg. 125)
- Author : Maulana Amir Usmani
- Publication : Markazi Maktaba Islami Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.