mere liye raat ne
aaj farāham kiyā
ek nayā marhala
nīndoñ se ḳhālī kiyā
ashkoñ se phir bhar diyā
kaasa mirī aañkh kā
aur kahā kaan meñ
maiñ ne har ik jurm se
tum ko barī kar diyā
maiñ ne sadā ke liye
tum ko rihā kar diyā
jaao jidhar chāho tum
jaago ki so jaao tum
ḳhvāb kā dar band hai
mere liye raat ne
aaj faraham kiya
ek naya marhala
nindon se KHali kiya
ashkon se phir bhar diya
kasa meri aankh ka
aur kaha kan mein
main ne har ek jurm se
tum ko bari kar diya
main ne sada ke liye
tum ko riha kar diya
jao jidhar chaho tum
jago ki so jao tum
KHwab ka dar band hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.