KHwab ka daraKHt
tujhe lauTā rahā huuñ
zindagī kā zarra zarra
umr kī shāḳhoñ se jhaḌte phuul
sūkhe haath
murjhā.ī rageñ
muddatoñ se maiñ ne tere
aate jaate mausamoñ ke rang pahne
bādaloñ kā ras piyā
raushan havā.eñ jism nahlātī rahīñ
mere ḳhvāboñ kī jaḌoñ kā
tere ThanDe zard siine se koī rishta na thā
tujhe lauTa raha hun
zindagi ka zarra zarra
umr ki shaKHon se jhaDte phul
sukhe hath
murjhai ragen
muddaton se main ne tere
aate jate mausamon ke rang pahne
baadalon ka ras piya
raushan hawaen jism nahlati rahin
mere KHwabon ki jaDon ka
tere ThanDe zard sine se koi rishta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.