KHwab ke jharoke se
'ajab ḳhvāb dekhā hai kal raat maiñ ne
'ajab ek duniyā hai ābād jis meñ
'ajab sā samāñ hai 'ajab sī fazā hai
'ajab sī zamīñ hai 'ajab āsmāñ hai
ka.ī miil phailā huā ek jangal
vo jangal ki jis meñ bahut duur tak bhī
kahīñ zindagī kā hai imkān koī
na koī pata hai
nabātāt haiñ na jamādāt koī
na haivān haiñ yaañ na insān koī
faqat ek vīrānī hadd-e-nazar tak nazar aa rahī hai
magar ek dariyā vahīñ par ravāñ hai
vo dariyā ki jis meñ haiñ guzre dinoñ ke ka.ī raaz pinhāñ
usī ke kināre pe tanhā hirāsāñ
maiñ kab se khaḌā huuñ
use pūchhtā huuñ
ye jangal hai vīrān-o-sunsān jitnā
ye pahle kahāñ thā
ki pahle to itnī udāsī nahīñ thī
yahāñ zindagī thī
vo paude vo sabze vo nadiyāñ vo jharne
daraḳht aur daraḳhtoñ kī shāḳhoñ pe gaate hue vo parinde
vo sab kuchh kahāñ hai
vo gul-rū gul-andām-o-gul-band merā
mire saath meñ aayā kartā thā aksar
kināre pe tere
vo āḳhir kahāñ hai
'ajab KHwab dekha hai kal raat main ne
'ajab ek duniya hai aabaad jis mein
'ajab sa saman hai 'ajab si faza hai
'ajab si zamin hai 'ajab aasman hai
kai mil phaila hua ek jangal
wo jangal ki jis mein bahut dur tak bhi
kahin zindagi ka hai imkan koi
na koi pata hai
nabaatat hain na jamadat koi
na haiwan hain yan na insan koi
faqat ek virani hadd-e-nazar tak nazar aa rahi hai
magar ek dariya wahin par rawan hai
wo dariya ki jis mein hain guzre dinon ke kai raaz pinhan
usi ke kinare pe tanha hirasan
main kab se khaDa hun
use puchhta hun
ye jangal hai viran-o-sunsan jitna
ye pahle kahan tha
ki pahle to itni udasi nahin thi
yahan zindagi thi
wo paude wo sabze wo nadiyan wo jharne
daraKHt aur daraKHton ki shaKHon pe gate hue wo parinde
wo sab kuchh kahan hai
wo gul-ru gul-andam-o-gul-band mera
mere sath mein aaya karta tha aksar
kinare pe tere
wo aaKHir kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.