KHwab
bahut dinoñ se udaas hai dil
bahut dinoñ se maiñ ro rahā huuñ
mirā asāsa to ḳhvāb the par
maiñ gahrī nīndoñ meñ so rahā huuñ
maiñ ek kirdār ban gayā huuñ
maiñ dāstānoñ meñ kho rahā huuñ
ye kaisā mausam hai mere dil meñ
guloñ meñ kāñTe piro rahā huuñ
maiñ sāf-suthrā libās le kar
galī ke paanī se dho rahā huuñ
maiñ apnī hairat kī khoj meñ thā
maiñ gahrī nīndoñ meñ so rahā huuñ
bahut dinoñ se udaas hai dil
bahut dinoñ se maiñ ro rahā huuñ
koī to zarḳhez ḳhvāb mālik!
maiñ ḳhushk lafzoñ ko bo rahā huuñ!
bahut dinon se udas hai dil
bahut dinon se main ro raha hun
mera asasa to KHwab the par
main gahri nindon mein so raha hun
main ek kirdar ban gaya hun
main dastanon mein kho raha hun
ye kaisa mausam hai mere dil mein
gulon mein kanTe piro raha hun
main saf-suthra libas le kar
gali ke pani se dho raha hun
main apni hairat ki khoj mein tha
main gahri nindon mein so raha hun
bahut dinon se udas hai dil
bahut dinon se main ro raha hun
koi to zarKHez KHwab malik!
main KHushk lafzon ko bo raha hun!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.