KHwab
ḳhvāb fan kā sarmāya ḳhvāb fan kī pūñjī hai
ḳhvāb mujh se mat chhīno
ḳhvāb dekhne do mujhe ḳhvāb bāñTne do mujhe
kufr radd kiyā maiñ ne raushnī ko diiñ jaanā
ahraman ke beToñ ko maiñ ne ahraman jaanā
un ko sar-nigūñ dekhā bārgāh-e-yazdāñ meñ
āftāb dāman meñ māhtāb jeboñ meñ
maiñ ne bhar liye kitne
tīrgī miTāne ko zindagī kī rāhoñ se
maañg maiñ ne dhartī kī rang-o-nūr se bhar dī
kahkashāñ kī chādar se Dhak diyā badan us kā
chār-sū dhanak phūTī chār-sū shafaq phūlī
āftāb dāman meñ
māhtāb jeboñ meñ merī jagmagāne do
ḳhvāb merī pūñjī hai ḳhvāb merā sarmāya
ḳhvāb mujh se mat chhīno
ḳhvāb mujh se mat chhīno
KHwab fan ka sarmaya KHwab fan ki punji hai
KHwab mujh se mat chhino
KHwab dekhne do mujhe KHwab banTne do mujhe
kufr radd kiya main ne raushni ko din jaana
ahraman ke beTon ko main ne ahraman jaana
un ko sar-nigun dekha bargah-e-yazdan mein
aaftab daman mein mahtab jebon mein
main ne bhar liye kitne
tirgi miTane ko zindagi ki rahon se
mang main ne dharti ki rang-o-nur se bhar di
kahkashan ki chadar se Dhak diya badan us ka
chaar-su dhanak phuTi chaar-su shafaq phuli
aaftab daman mein
mahtab jebon mein meri jagmagane do
KHwab meri punji hai KHwab mera sarmaya
KHwab mujh se mat chhino
KHwab mujh se mat chhino
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.