KHwab ki shelf par dhari nazm
agar samundar mujhe rāsta detā
to safar kartī us qindīl ke saath
jo shaam kā malgajā phailte hī
sāhil par raushan ho jaatī hai
uḌtī qaqnus ke ham-rikāb
ufuq kī masāfatoñ meñ
tairtī machhliyoñ ke sañg
khojtī reg-zāroñ meñ
nīlgūñ pāniyoñ ko
surma.ī pahāḌoñ meñ
jādūī surangoñ ko
lekin mere sirhāne
aadhe paune ḳhvāb paḌe haiñ
aur merī shelf par dhare haiñ
kāñch ke nāzuk bartan
sabzī ke chhilke
ghar kī dīvāroñ par
mere beTe kī khiñchī lakīroñ meñ
an-sunī kahāniyāñ haiñ
jo muskurātī khilkhilātī haiñ
aur bāteñ kartī haiñ āñkhoñ hī āñkhoñ meñ
vo kahāniyāñ suntī maiñ daf.atan chauñk jaatī huuñ
adhūre ḳhvāb bhī mere
kitne sharminda-e-ta.abīr hue
magar phir bhī Dartī huuñ
ki merī beTī
aadhe ḳhvāb dekh kar
unheñ adhūrā chhoḌ na de
buuñd buuñd duā utartī hai
dil kī zamīñ pe
pahlī bārish kī mānind
aur siilī miTTī se shāḳh-dar-shāḳh
tamannā.eñ phuuT paḌtī haiñ
agar samundar mujhe rasta deta
to safar karti us qindil ke sath
jo sham ka malgaja phailte hi
sahil par raushan ho jati hai
uDti qaqnus ke ham-rikab
ufuq ki masafaton mein
tairti machhliyon ke sang
khojti reg-zaron mein
nilgun paniyon ko
surmai pahaDon mein
jadui surangon ko
lekin mere sirhane
aadhe paune KHwab paDe hain
aur meri shelf par dhare hain
kanch ke nazuk bartan
sabzi ke chhilke
ghar ki diwaron par
mere beTe ki khinchi lakiron mein
an-suni kahaniyan hain
jo muskuraati khilkhilati hain
aur baaten karti hain aankhon hi aankhon mein
wo kahaniyan sunti main dafatan chaunk jati hun
adhure KHwab bhi mere
kitne sharminda-e-tabir hue
magar phir bhi Darti hun
ki meri beTi
aadhe KHwab dekh kar
unhen adhura chhoD na de
bund bund dua utarti hai
dil ki zamin pe
pahli barish ki manind
aur sili miTTi se shaKH-dar-shaKH
tamannaen phuT paDti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.