KHwab
maiñ ne ḳhvāb dekhā thā
pāniyoñ ke paar ik din
bastī ik basā.ūñgā
jis ke rahne vāloñ meñ
nafrateñ nahīñ hoñgī
sirf qurbateñ hoñgī
bas mohabbateñ hoñgī
yuuñ huā ki phir ik din
ik uḌan-khaTole ne
lā khaḌā kiyā mujh ko
merī ḳhvāb bastī meñ
nā-shanās bastī ke
ḳhush-numā makānoñ meñ
qurbateñ to kam kam thiiñ
dūriyāñ ziyāda thiiñ
is se peshtar saare
fard fard ghaT jaa.eñ
un na.e makānoñ ke
fāsle simaT jaa.eñ
kaash sab makīñ apne
sāḳhta hisāroñ se
ek din nikal aa.eñ
aur mere ḳhvāboñ kī
de deñ mujh ko tā'bīreñ
kaash ḳhvāb bastī ik
be-makān bastī ho
kaash sab makāñ apne
ghar meñ phir badal jaa.eñ
ek aisā ghar ki jo
pāniyoñ ke paar ik din
dosh par ho ki maiñ
pīchhe chhoḌ aayā thā
kaash kaash kī gardān
ḳhvāb ḳhvāb yuuñ gūñjī
aañkh khul ga.ī sāhab
aañkh jab kholī maiñ ne
kuchh na.ī dīvāroñ ke
ḳhud ko darmiyāñ paayā
maiñ na.e jahāñ meñ thā
ik na.e makāñ meñ thā
ḳhvāb maiñ ne dekhā thā
main ne KHwab dekha tha
paniyon ke par ek din
basti ek basaunga
jis ke rahne walon mein
nafraten nahin hongi
sirf qurbaten hongi
bas mohabbaten hongi
yun hua ki phir ek din
ek uDan-khaTole ne
la khaDa kiya mujh ko
meri KHwab basti mein
na-shanas basti ke
KHush-numa makanon mein
qurbaten to kam kam thin
duriyan ziyaada thin
is se peshtar sare
fard fard ghaT jaen
un nae makanon ke
fasle simaT jaen
kash sab makin apne
saKHta hisaron se
ek din nikal aaen
aur mere KHwabon ki
de den mujh ko ta'biren
kash KHwab basti ek
be-makan basti ho
kash sab makan apne
ghar mein phir badal jaen
ek aisa ghar ki jo
paniyon ke par ek din
dosh par ho ki main
pichhe chhoD aaya tha
kash kash ki gardan
KHwab KHwab yun gunji
aankh khul gai sahab
aankh jab kholi main ne
kuchh nai diwaron ke
KHud ko darmiyan paya
main nae jahan mein tha
ek nae makan mein tha
KHwab main ne dekha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.