KHwab mazdur hai
ḳhvāb mazdūr hai
raat din sar pe bhārī taġhārī liye
saañs kī
baañs kī
hāñptī-kāñptī sīḌhiyoñ par
utartā hai
chaḌhtā hai
rū-posh me.amār ke hukm par
ek lā-shakl naqshe pe uThtī huī
uupar uThtī huī
gol dīvār ke
ḳhisht-dar-ḳhisht chakkar meñ mahsūr hai
ḳhvāb mazdūr hai!
ik mashaqqat-zada aadmī kī tarah
maiñ haqīqat kī duniyā meñ
yā ḳhvāb meñ
roz ma.amūl ke kaam kartā huuñ
kuchh der ārām kartā huuñ
kāñToñ bharī khaaT meñ
pyaas ke jaam piitā huuñ
aur sozan-e-hijr se
apnī udhḌī huī tan kī poshāk siitā huuñ
jiitā huuñ
kaisī anokhī haqīqat hai
kaisā ajab ḳhvāb hai
ik mashaqqat-zada aadmī kī tarah
apne hisse kī bajrī uThāne pe māmūr hai
ḳhvāb mazdūr hai!!
KHwab mazdur hai
raat din sar pe bhaari taghaari liye
sans ki
bans ki
hanpti-kanpti siDhiyon par
utarta hai
chaDhta hai
ru-posh meamar ke hukm par
ek la-shakl naqshe pe uThti hui
upar uThti hui
gol diwar ke
KHisht-dar-KHisht chakkar mein mahsur hai
KHwab mazdur hai!
ek mashaqqat-zada aadmi ki tarah
main haqiqat ki duniya mein
ya KHwab mein
roz mamul ke kaam karta hun
kuchh der aaram karta hun
kanTon bhari khaT mein
pyas ke jam pita hun
aur sozan-e-hijr se
apni udhDi hui tan ki poshak sita hun
jita hun
kaisi anokhi haqiqat hai
kaisa ajab KHwab hai
ek mashaqqat-zada aadmi ki tarah
apne hisse ki bajri uThane pe mamur hai
KHwab mazdur hai!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.