KHwab
na jaane kaun sī saa.at meñ ye gumān huā
ba.iid ḳhvāb ke rauzan se jhāñktā hai koī
ġhunūda zehn ke āfāq ho ga.e raushan
kasal ke saath shu.ūr-e-zamāñ huā bedār
pas-e-shu.ūr jo bikhre paḌe the mashkīze
tulūa-e-zāt ke ehsās se hue labrez
magar vo ḳhvāb jo ġharq-e-shu.ūr the yaksar
bisāt-e-chashm pe jin ko abhī ubharnā thā
vo saare ḳhvāb kahīñ aur kar ga.e hijrat
vo ḳhvāb jo mire maazī ke ābgīne the
vo ḳhvāb jin se mirā haal thā abhī mansūb
vo ḳhvāb jo mirī maujūdgī ke zāmin the
jo ābnā-e-tasavvur kī lahr bante the
bisāt-e-chashm pe jin ko abhī ubharnā thā
vo saare ḳhvāb kahīñ aur kar ga.e hijrat
na jaane kaun sī saa.at meñ ye gumān huā
ba.iid ḳhvāb ke rauzan se jhāñktā hai koī
na jaane kaun si saat mein ye guman hua
baid KHwab ke rauzan se jhankta hai koi
ghunuda zehn ke aafaq ho gae raushan
kasal ke sath shuur-e-zaman hua bedar
pas-e-shuur jo bikhre paDe the mashkize
tulua-e-zat ke ehsas se hue labrez
magar wo KHwab jo gharq-e-shuur the yaksar
bisat-e-chashm pe jin ko abhi ubharna tha
wo sare KHwab kahin aur kar gae hijrat
wo KHwab jo mere mazi ke aabgine the
wo KHwab jin se mera haal tha abhi mansub
wo KHwab jo meri maujudgi ke zamin the
jo aabna-e-tasawwur ki lahr bante the
bisat-e-chashm pe jin ko abhi ubharna tha
wo sare KHwab kahin aur kar gae hijrat
na jaane kaun si saat mein ye guman hua
baid KHwab ke rauzan se jhankta hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.