KHwab
khule pāniyoñ meñ ghirī laḌkiyāñ
narm lahroñ ke chhīñTe uḌātī huī
bāt-be-bāt hañstī huī
apne ḳhvāboñ ke shahzādoñ kā tazkira kar rahī thiiñ
jo ḳhāmosh thiiñ
un kī āñkhoñ meñ bhī muskurāhaT kī tahrīr thī
un ke hoñToñ ko bhī an-kahe ḳhvāb kā zā.iqa chūmtā thaa!
aane vaale na.e mausamoñ ke sabhī pairahan nīlmīñ ho chuke the!
duur sāhil pe baiThī huī ek nannhī sī bachchī
hamārī hañsī aur maujoñ ke āhañg se be-ḳhabar
ret se ek nanhā gharauñdā banāne meñ masrūf thī
aur maiñ sochtī thī
ḳhudā-yā! ye ham laḌkiyāñ
kachchī umroñ se hī ḳhvāb kyuuñ dekhnā chāhtī haiñ
ḳhvāb kī hukmarānī meñ kitnā tasalsul rahā hai!
khule paniyon mein ghiri laDkiyan
narm lahron ke chhinTe uDati hui
baat-be-baat hansti hui
apne KHwabon ke shahzadon ka tazkira kar rahi thin
jo KHamosh thin
un ki aankhon mein bhi muskurahaT ki tahrir thi
un ke honTon ko bhi an-kahe KHwab ka zaiqa chumta tha!
aane wale nae mausamon ke sabhi pairahan nilmin ho chuke the!
dur sahil pe baiThi hui ek nannhi si bachchi
hamari hansi aur maujon ke aahang se be-KHabar
ret se ek nanha gharaunda banane mein masruf thi
aur main sochti thi
KHuda-ya! ye hum laDkiyan
kachchi umron se hi KHwab kyun dekhna chahti hain
KHwab ki hukmarani mein kitna tasalsul raha hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.