KHwab
aañkh band hote hī
ḳhvāb jaag jaate haiñ
ḳhvāb niiñd kā jaadū
kaun kaun aatā hai!
koī ajnabī chehra
koī jaanā pahchānā!
koī dilrubā laḌkī
koī dost kī biivī
koī ġhair kī aurat!
jism jagmagāte haiñ!
lamha lamha vahshat hai
har gunāh afsāna
dhaḌkanoñ kā nazrāna
jab bhī aañkh khultī hai
ḳhud se ḳhauf aatā hai
tujh se jī churātā huuñ
ḳhvāb kā har ik lamha
mujh ko apnī nazroñ se
jaane kyuuñ girātā hai
kaash merī āñkhoñ se
saare ḳhvāb dhul jaa.eñ
aankh band hote hi
KHwab jag jate hain
KHwab nind ka jadu
kaun kaun aata hai!
koi ajnabi chehra
koi jaana pahchana!
koi dilruba laDki
koi dost ki biwi
koi ghair ki aurat!
jism jagmagate hain!
lamha lamha wahshat hai
har gunah afsana
dhaDkanon ka nazrana
jab bhi aankh khulti hai
KHud se KHauf aata hai
tujh se ji churaata hun
KHwab ka har ek lamha
mujh ko apni nazron se
jaane kyun giraata hai
kash meri aankhon se
sare KHwab dhul jaen
- Book : Mauje Aariz (Pg. 66)
- Author : Sabir Datt
- Publication : Sahir Publishing House, Mumbay (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.